Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao baDe ban jaen

Mohammad Asadullah

aao baDe ban jaen

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    aao baḌe ban jaa.eñ

    naak pe apnī chashma rakh kar sab ko aañkh dikhā.eñ

    lambī lambī mūñchheñ rakh leñ sab par ro.ab jamā.eñ

    karte jaa.eñ man-mānī aur hargiz na ghabrā.eñ

    baḌe baḌe pairoñ se chal kar sab se aage jaa.eñ

    aao baḌe ban jaa.eñ

    likhnā paḌhnā kuchh na jāneñ ThāTh se daftar jaanā

    har din ghar meñ na.e khilaune laDDū barfī laanā

    ḳhāmosh raho mat dhuum machāo sab ko DaañT pilānā

    talo pakauḌe chaa.e banāo order dete jaa.eñ

    aao baḌe ban jaa.eñ

    daadā walking stick le kar sair kareñge

    man-mānī karne vāloñ ko chain na lene deñge

    apnā qānūn chalegā ghar meñ raaj kareñge

    ham ham haiñ ab na kisī ko ḳhātir meñ laa.eñ

    aao baḌe ban jaa.eñ

    aao baDe ban jaen

    nak pe apni chashma rakh kar sab ko aankh dikhaen

    lambi lambi munchhen rakh len sab par roab jamaen

    karte jaen man-mani aur hargiz na ghabraen

    baDe baDe pairon se chal kar sab se aage jaen

    aao baDe ban jaen

    likhna paDhna kuchh na jaanen ThaTh se daftar jaana

    har din ghar mein nae khilaune laDDu barfi lana

    KHamosh raho mat dhum machao sab ko DanT pilana

    talo pakauDe chae banao order dete jaen

    aao baDe ban jaen

    dada ji ki walking stick le kar sair karenge

    man-mani karne walon ko chain na lene denge

    apna hi qanun chalega ghar mein raj karenge

    hum hi hum hain ab na kisi ko KHatir mein laen

    aao baDe ban jaen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now