Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni pahchan

Shaukat Pardesi

apni pahchan

Shaukat Pardesi

MORE BYShaukat Pardesi

    hāthī dekh ke chyūñTī bolī kitnā hai be-Daul badan

    chūhe ne bhī uuñT lambā.ī ko samjhā pāgal-pan

    gājar shaljam aur muulī ne kahā ki chaupaT hai baiñgan

    dūsroñ ke baare meñ yuuñ to sab kuchh kahnā hai āsān

    sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān

    kelā aur amrūd ye bole aam to hai garmī phal

    tauba tauba ho jā.eñge ham is mausam meñ pāgal

    līchī bolī dekho kitnā be-Dhañga hai kaT.hal

    is ko khāne vaalā hogā aisā koī nādān

    sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān

    jin sifat hai aage baḌhnā rahte vo ḳhāmosh

    karte haiñ vo baat vazn nahīñ dikhāte josh

    rakhte haiñ jazbāt pe qaabū khote nahīñ vo hosh

    nahīñ chalāte uḌte bādal par lafzoñ ke tīr-o-kamān

    sab se ziyāda mushkil hai duniyā meñ ḳhud apnī pahchān

    hathi dekh ke chyunTi boli kitna hai be-Daul badan

    chuhe ne bhi unT ki lambai ko samjha pagal-pan

    gajar shaljam aur muli ne kaha ki chaupaT hai baingan

    dusron ke bare mein yun to sab kuchh kahna hai aasan

    sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan

    kela aur amrud ye bole aam to hai garmi ka phal

    tauba tauba ho jaenge hum is mausam mein pagal

    lichi boli dekho kitna be-Dhanga sa hai kaThal

    is ko khane wala hoga aisa hi koi nadan

    sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan

    jin ki sifat hai aage baDhna rahte wo KHamosh

    karte hain wo baat wazn ki nahin dikhate josh

    rakhte hain jazbaat pe qabu khote nahin wo hosh

    nahin chalate uDte baadal par lafzon ke tir-o-kaman

    sab se ziyaada mushkil hai duniya mein KHud apni pahchan

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now