Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachcha hai mahan

Sahir Ludhianvi

bachcha hai mahan

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    tujh meñ īshvar

    allah tujh meñ

    tujh meñ jesus paayā

    bachche meñ hai bhagvān

    bachche meñ rahmān

    bachcha jesus shaan

    giitā is meñ

    bible is meñ

    is meñ hai qur.ān

    bolo bachcha hai mahān

    jag meñ bachcha hai mahān

    mandir masjid aur girje meñ is nuur samāyā

    is nannhī jaan meñ chhup kar vo apne ghar aaya

    paapī man ko pāvan kartī is har muskān

    bolo bachcha hai mahān

    jag meñ bachcha hai mahān

    gyānī sab meñ bhed karāve bachcha mel karāve

    ham jaise bhūle-bhaTkoñ ko sīdhī raah dikhāve

    is ke bhole-pan par sadqe duniyā-bhar gyaan

    bolo bachcha hai mahān

    jag meñ bachcha hai mahān

    tujh mein ishwar

    allah tujh mein

    tujh mein jesus paya

    bachche mein hai bhagwan

    bachche mein rahman

    bachcha jesus ki shan

    gita is mein

    bible is mein

    is mein hai quran

    bolo bachcha hai mahan

    jag mein bachcha hai mahan

    mandir masjid aur girje mein is ka nur samaya

    is nannhi si jaan mein chhup kar wo apne ghar aaya

    papi man ko pawan karti is ki har muskan

    bolo bachcha hai mahan

    jag mein bachcha hai mahan

    gyani sab mein bhed karawe bachcha mel karawe

    hum jaise bhule-bhaTkon ko sidhi rah dikhawe

    is ke bhole-pan par sadqe duniya-bhar ka gyan

    bolo bachcha hai mahan

    jag mein bachcha hai mahan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now