chiDiyon ki shikayat
chiḌiyoñ ne be-tarah satāyā hai
mere kamre ko ghar banāyā hai
chhat pe un ko jahāñ milī hai jagah
ik na ik ghoñsla banāyā hai
ain mere palañg ke uupar
hai jo hissa vo un ko bhāyā hai
taar bijlī kā hai jo chhat pe lagā
vo to mīrās hī meñ paayā hai
koī khūñTī ho taaq ho dar ho
un kī jāgīr meñ vo aayā hai
sar pe bīToñ kā meñh barastā hai
be-Dhab aisā ye abr chhāyā hai
takiya par mez par kitāboñ par
mohr kā sā nishāñ banāyā hai
hissa mujh ko bhī kuchh milā hai zarūr
jab chiḌā tinke le kar aayā hai
un kī chuuñ chuuñ kā raag sun kar dil
gaanā sunñe se tañg aayā hai
sab ke sar par ḳhudā kā hai saaya
mujh pe un ke paroñ kā saaya hai
is qadar biiT kartī haiñ kam-baḳht
naak meñ dam har ek kā aayā hai
sub.h se laḌ rahī haiñ aapas meñ
sar pe saarā makān uThāyā hai
paḌh nahīñ saktā likh nahīñ saktā
is qadar shor-o-ġhul machāyā hai
aisā mālūm hotā hai goyā
merā kamra nahīñ parāyā hai
chiDiyon ne be-tarah sataya hai
mere kamre ko ghar banaya hai
chhat pe un ko jahan mili hai jagah
ek na ek ghonsla banaya hai
ain mere palang ke upar
hai jo hissa wo un ko bhaya hai
tar bijli ka hai jo chhat pe laga
wo to miras hi mein paya hai
koi khunTi ho taq ho dar ho
un ki jagir mein wo aaya hai
sar pe biTon ka meinh barasta hai
be-Dhab aisa ye abr chhaya hai
takiya par mez par kitabon par
mohr ka sa nishan banaya hai
hissa mujh ko bhi kuchh mila hai zarur
jab chiDa tinke le kar aaya hai
un ki chun chun ka rag sun kar dil
gana sunne se tang aaya hai
sab ke sar par KHuda ka hai saya
mujh pe un ke paron ka saya hai
is qadar biT karti hain kam-baKHt
nak mein dam har ek ka aaya hai
subh se laD rahi hain aapas mein
sar pe sara makan uThaya hai
paDh nahin sakta likh nahin sakta
is qadar shor-o-ghul machaya hai
aisa malum hota hai goya
mera kamra nahin paraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.