dhire-dhire
ghar lauTā sūraj bechāra dhīre-dhīre
phail gayā har sū añdhiyārā dhīre-dhīre
bādal pīchhe sulag rahā hai baiThe baiThe
niil gagan meñ shaam kā taarā dhīre-dhīre
sūñgh liyā kul vaadī ko ik gahrī chup ne
duur kahīñ gaa.e banjārā dhīre-dhīre
mandir meñ nāqūs bajātā jhīno-jhīno
masjid meñ gūñje naqqārā dhīre-dhīre
aan rahā koThe ke uupar chalte-chalte
khoyā-khoyā chāñd hamārā dhīre-dhīre
māñjhī gaa.e gaatā jaa.e haiyyā-haiyyā
lo kashtī ne chhuā kinārā dhīre-dhīre
nindiyā aa.ī sapne laa.ī chorī-chorī
soyā 'tāriq' rāj-dulārā dhīre-dhīre
ghar lauTa suraj bechaara dhire-dhire
phail gaya har su andhiyara dhire-dhire
baadal pichhe sulag raha hai baiThe baiThe
nil gagan mein sham ka tara dhire-dhire
sungh liya kul wadi ko ek gahri chup ne
dur kahin gae banjara dhire-dhire
mandir mein naqus bajata jhino-jhino
masjid mein gunje naqqara dhire-dhire
aan raha koThe ke upar chalte-chalte
khoya-khoya chand hamara dhire-dhire
manjhi gae gata jae haiyya-haiyya
lo kashti ne chhua kinara dhire-dhire
nindiya aai sapne lai chori-chori
soya 'tariq' raj-dulara dhire-dhire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.