dosto taliyan
kyā kahā fasl bhuTTe kī tayyār hai
toḌ laa.eñ chalo khet se bāliyāñ
dosto tāliyāñ
jī meñ hai sair kī jaa.e tālāb kī
phāñd kar aaj schōl kī jāliyāñ
dosto tāliyāñ
phir havā meñ patañgeñ thirakne lagīñ
luuT laa.eñ chalo pīliyāñ kāliyāñ
dosto tāliyāñ
kuchh sunā ham jo pahuñche baḌe baaġh meñ
dekh kar jhuk ga.iiñ aam kī Dāliyāñ
dosto tāliyāñ
geñd khiḌkī ke shīshe se Takrā ga.ī
jo huā so huā ab suno gāliyāñ
dosto tāliyāñ
jaḌ diyā jā ke ammī se jāsūs ne
vo paḌī maar ghar-ghar meñ qavvāliyāñ
dosto tāliyāñ
kya kaha fasl bhuTTe ki tayyar hai
toD laen chalo khet se baaliyan
dosto taliyan
ji mein hai sair ki jae talab ki
phand kar aaj school ki jaliyan
dosto taliyan
phir hawa mein patangen thirakne lagin
luT laen chalo piliyan kaliyan
dosto taliyan
kuchh suna hum jo pahunche baDe bagh mein
dekh kar jhuk gain aam ki Daliyan
dosto taliyan
gend khiDki ke shishe se Takra gai
jo hua so hua ab suno galiyan
dosto taliyan
jaD diya ja ke ammi se jasus ne
wo paDi mar ghar-ghar mein qawwaliyan
dosto taliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.