jaldi miyan
hai naam to ḳhurshed ḳhaañ
kahte haiñ sab jaldī miyāñ
har kaam meñ gaḌbaḌ kareñ
kamroñ meñ vo khaḌbaḌ kareñ
haiñ der se vo jāgte
schōl jaa.eñ bhāgte
ustād jab pūchheñ savāl
ho jaa.eñ fauran vo niDhāl
bātoñ kā un ko shauq hai
kushtī kā bhī kuchh zauq hai
āshiq haiñ vo fōtbāl ke
dushman haiñ roTī daal ke
halva magar marġhūb hai
aur chaa.e bhī mahbūb hai
ik din vo jaldī meñ chale
dekhā nahīñ thā sāmne
kele kā chhalkā thā paḌā
us par jo paañv rakh diyā
phisle chunāñche gir paḌe
aur dard se rone lage
maañ ne uThāyā pyaar se
bahlāyā phir chumkār ke
jaldī miyāñ jab chup hue
ammī lagīñ ye pūchhne
chhilkā ye pheñkā kis ne yaañ
sūjhīñ kise nādāniyāñ
jaldī miyāñ kā sar jhukā
taalā thā muñh par ik lagā
jaatā na thā un se kahā
chhilkā to pheñkā maiñ ne thā
hai nam to KHurshed KHan
kahte hain sab jaldi miyan
har kaam mein gaDbaD karen
kamron mein wo khaDbaD karen
hain der se wo jagte
school jaen bhagte
ustad jab puchhen sawal
ho jaen fauran wo niDhaal
baaton ka un ko shauq hai
kushti ka bhi kuchh zauq hai
aashiq hain wo footbaal ke
dushman hain roTi dal ke
halwa magar marghub hai
aur chae bhi mahbub hai
ek din wo jaldi mein chale
dekha nahin tha samne
kele ka chhalka tha paDa
us par jo panw rakh diya
phisle chunanche gir paDe
aur dard se rone lage
man ne uThaya pyar se
bahlaya phir chumkar ke
jaldi miyan jab chup hue
ammi lagin ye puchhne
chhilka ye phenka kis ne yan
sujhin kise nadaniyan
jaldi miyan ka sar jhuka
tala tha munh par ek laga
jata na tha un se kaha
chhilka to phenka main ne tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.