meri laDli
kitnī bholī hai tū kitnī pyārī hai tū
apne baabā kī behad dulārī hai tū
chāñd sā terā chehra chamaktā rahe
terā kirdār yuuñ hī damaktā rahe
ho hayā kī tirī aañkh meñ raushnī
ibn-e-mariyam sī pākīza ho zindagī
tere hoñToñ pe zikr-e-ilāhī rahe
duur saa.e se tere tabāhī rahe
maiñ to maañ huuñ tirī ye du'ā hai mirī
tujh ko hāsil ho duniyā kī har ik ḳhushī
dīn-e-islām kā 'ilm hāsil kare
aur paḌh likh ke ik ‘ālima tū bane
naam ho saarī duniyā meñ raushan tirā
ho tirā mulk meñ har taraf tazkira
tere baabā kā bhī nām-e-nāmī rahe
terī 'izzat kareñ saare chhoTe baḌe
ham añdhere haiñ raushan sitārā hai tū
apne māñ-bāp kā bas sahārā hai tū
kitni bholi hai tu kitni pyari hai tu
apne baba ki behad dulari hai tu
chand sa tera chehra chamakta rahe
tera kirdar yun hi damakta rahe
ho haya ki teri aankh mein raushni
ibn-e-mariyam si pakiza ho zindagi
tere honTon pe zikr-e-ilahi rahe
dur sae se tere tabahi rahe
main to man hun teri ye du'a hai meri
tujh ko hasil ho duniya ki har ek KHushi
din-e-islam ka 'ilm hasil kare
aur paDh likh ke ek ‘alima tu bane
nam ho sari duniya mein raushan tera
ho tera mulk mein har taraf tazkira
tere baba ka bhi nam-e-nami rahe
teri 'izzat karen sare chhoTe baDe
hum andhere hain raushan sitara hai tu
apne man-bap ka bas sahaara hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.