Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri piTai

Shaukat Pardesi

meri piTai

Shaukat Pardesi

MORE BYShaukat Pardesi

    'rūbī' halva kis ne churāyā

    ammī ne pūchhā abbū ne pūchhā

    daadī ye bolīñ 'rūbī' halva

    dekhā thā maiñ ne mez pe rakkhā

    āḳhir aa.ī merī shāmat

    rozī ne mujh ko khāte thā dekhā

    abbū ne kar merī piTā.ī

    chūne meñ katthā kis ne milāyā

    daadī ne pūchhā ammī se kar

    daadā ye bole uf merī ainak

    kis ne uThā.ī rakh kahāñ par

    āḳhir aa.ī merī shāmat

    ainak jo TuuTī phūTā muqaddar

    ammī ne kar merī piTā.ī

    juute polish Dibiya bharī thī

    lekin hai us meñ kaisī ye Dorī

    bhābhī ne pūchhā polish huī kyā

    'rūbī' ne batlā merī ye chorī

    āḳhir aa.ī merī shāmat

    zaa.e.a huī sab sīna-zorī

    bhayyā ne kar merī piTā.ī

    phāḌī ye kis ne ruufī copy

    teacher ne pūchhā maktab meñ sab se

    sab ne nahīñ lekin maiñ chup thā

    kuchh bhī na bolā pās-e-adab se

    is pe bhī aa.ī merī shāmat

    bach na sakā maiñ josh-e-ġhazab se

    teacher ne kar merī piTā.ī

    kaaT kis ne geñd rubber

    achchhī nahīñ hai aisī sharārat

    baiThe hue haiñ saare khilāḌī

    pahuñchī hai sab ke dil ko aziyyat

    chāqū jo niklā jeb se merī

    aa ga.ī phir merī shāmat

    yāroñ ne kar merī piTā.ī

    'rubi' ka halwa kis ne churaya

    ammi ne puchha abbu ne puchha

    dadi ye bolin 'rubi' ka halwa

    dekha tha main ne mez pe rakkha

    aaKHir aai meri hi shamat

    rozi ne mujh ko khate tha dekha

    abbu ne kar di meri piTai

    chune mein kattha kis ne milaya

    dadi ne puchha ammi se ja kar

    dada ye bole uf meri ainak

    kis ne uThai rakh di kahan par

    aaKHir aai meri hi shamat

    ainak jo TuTi phuTa muqaddar

    ammi ne kar di meri piTai

    jute ki polish Dibiya bhari thi

    lekin hai us mein kaisi ye Dori

    bhabhi ne puchha polish hui kya

    'rubi' ne batla di meri ye chori

    aaKHir aai meri hi shamat

    zaea hui sab sina-zori

    bhayya ne kar di meri piTai

    phaDi ye kis ne rufi ki copy

    teacher ne puchha maktab mein sab se

    sab ne nahin ki lekin main chup tha

    kuchh bhi na bola pas-e-adab se

    is pe bhi aai meri hi shamat

    bach na saka main josh-e-ghazab se

    teacher ne kar di meri piTai

    kaT di kis ne gend rubber ki

    achchhi nahin hai aisi shararat

    baiThe hue hain sare khilaDi

    pahunchi hai sab ke dil ko aziyyat

    chaqu jo nikla jeb se meri

    aa gai phir meri hi shamat

    yaron ne kar di meri piTai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now