rah-numa ban jaun
dard jis dil meñ ho us dil kī davā ban jā.ūñ
koī bīmār agar ho to shifā ban jā.ūñ
dukh meñ hilte hue lab kī maiñ duā ban jā.ūñ
uf vo āñkheñ ki haiñ bīnā.ī se mahrūm kahīñ
raushnī jin meñ nahīñ nuur jin āñkhoñ meñ nahīñ
maiñ in āñkhoñ ke liye nūr-e-ziyā ban jā.ūñ
haa.e vo dil jo taḌaptā huā ghar se nikle
uf vo aañsū jo kisī dīda-e-tar se nikle
maiñ us aañsū ke sukhāne ko havā ban jā.ūñ
duur manzil se agar raah meñ thak jaa.e koī
jab musāfir kahīñ raste se bhaTak jaa.e koī
ḳhizr kā kaam karūñ rāh-numā ban jā.ūñ
umr ke bojh se jo log dabe jaate haiñ
nā-tavānī se jo har roz jhuke jaate haiñ
un za.īfoñ ke sahāre ko asā ban jā.ūñ
ḳhidmat-e-ḳhalq kā har samt meñ charchā kar duuñ
mādar-e-hind ko jannat kā namūna kar duuñ
ghar kare dil meñ jo 'afsar' vo sadā ban jā.ūñ
dard jis dil mein ho us dil ki dawa ban jaun
koi bimar agar ho to shifa ban jaun
dukh mein hilte hue lab ki main dua ban jaun
uf wo aankhen ki hain binai se mahrum kahin
raushni jin mein nahin nur jin aankhon mein nahin
main in aankhon ke liye nur-e-ziya ban jaun
hae wo dil jo taDapta hua ghar se nikle
uf wo aansu jo kisi dida-e-tar se nikle
main us aansu ke sukhane ko hawa ban jaun
dur manzil se agar rah mein thak jae koi
jab musafir kahin raste se bhaTak jae koi
KHizr ka kaam karun rah-numa ban jaun
umr ke bojh se jo log dabe jate hain
na-tawani se jo har roz jhuke jate hain
un zaifon ke sahaare ko asa ban jaun
KHidmat-e-KHalq ka har samt mein charcha kar dun
madar-e-hind ko jannat ka namuna kar dun
ghar kare dil mein jo 'afsar' wo sada ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.