pop ki muafi
mujassam taqaddus safedī meñ Duubā
baḌī shaan se chhoTī khiḌkī meñ aaya
zamīñ par paḌe ik saroñ ke samundar
ko nazroñ kā parshād de kar
bahut ājizī se
mahal ke kushāda kisī kamre meñ kho gayā
yaqīnan ibādat kī ḳhātir
nayā saal aaya
masīhā.ī taaza laboñ par sajā kar
chamakdār sone kī lāThī sañbhāle
zarī ke libās-e-kushāda meñ malbūs dhīre se goyā huā
faqat ājizī hai ilaaj
baḌho dard ke māroñ ko baḌh ke thāmo
na chhūTe ye dāman kabhī ājizī kā
aqīdat kā haala gale meñ paḌī surḳh shaal
aur is par zar-o-sīm-o-naqsh-o-nigār
bahut bojh hai vo sañbhāle hue
chhat aur hall aur surḳh pardoñ pe hai vajd taarī
magar is se aarī samundar ke paar
be-hangam uge ḳhud-rau jangal kī aulād
columbus kī nasloñ ke pairoñ tale kachchī miTTī ke Dher
qabīloñ ke kīḌe-makoḌe zamīnoñ ke bojh
sañbhāle hue apne kānoñ ke āñkhoñ ke kashkol
juḌe dekhnā chāhte haiñ jo larzīda akḌe hue haath
ghisaTte chale aa.e haiñ reñgte reñgte
taqaddus ko apnī muāfī kī ḳhairāt dene ke ḳhush-fahm
adab nā-shanās
mujassam taqaddus safedi mein Duba
baDi shan se chhoTi khiDki mein aaya
zamin par paDe ek saron ke samundar
ko nazron ka parshad de kar
bahut aajizi se
mahal ke kushada kisi kamre mein kho gaya
yaqinan ibaadat ki KHatir
naya sal aaya
masihai taza labon par saja kar
chamakdar sone ki laThi sanbhaale
zari ke libas-e-kushada mein malbus dhire se goya hua
faqat aajizi hai ilaj
baDho dard ke maron ko baDh ke thamo
na chhuTe ye daman kabhi aajizi ka
aqidat ka haala gale mein paDi surKH shaal
aur is par zar-o-sim-o-naqsh-o-nigar
bahut bojh hai wo sanbhaale hue
chhat aur hall aur surKH pardon pe hai wajd tari
magar is se aari samundar ke par
be-hangam uge KHud-rau jangal ki aulad
columbus ki naslon ke pairon tale kachchi miTTi ke Dher
qabilon ke kiDe-makoDe zaminon ke bojh
sanbhaale hue apne kanon ke aankhon ke kashkol
juDe dekhna chahte hain jo larzida akDe hue hath
ghisaTte chale aae hain rengte rengte
taqaddus ko apni muafi ki KHairaat dene ke KHush-fahm
adab na-shanas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.