portrait
bhūkā man ki tan
ek muamma
muddat guzrī ab tak baiThā
aas lagā.e
tan ko sajā.e
sūrat ke sab diip jalā.e
gyaan kī chādar oḌhe
rang be-rang nigāheñ paḌhnā
bahte rishte qaabū karnā mashġhala us kā
dīmak us ke jism ke uupar
dīmak us ke jism ke andar
āvāzoñ par āvāze
jaise ek kahāvat
kuchh to de kar jaao
bhūkā man bhī tan
jis kī āñkheñ dīmak ne
khol ke rakh diiñ āñgan meñ
aur maiñ paapī
gyaan uThā.e baiTh gayā
bhuka man ki tan
ek muamma
muddat guzri ab tak baiTha
aas lagae
tan ko sajae
surat ke sab dip jalae
gyan ki chadar oDhe
rang be-rang nigahen paDhna
bahte rishte qabu karna mashghala us ka
dimak us ke jism ke upar
dimak us ke jism ke andar
aawazon par aawaze
jaise ek kahawat
kuchh to de kar jao
bhuka man bhi tan
jis ki aankhen dimak ne
khol ke rakh din aangan mein
aur main papi
gyan uThae baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.