poTli
lekin vo nahīñ gayā
use ma.alūm huā ki us kī maañ
bistar-e-marg par paḌī hai
aur shāyad chand dinoñ kī mehmān hai
lekin vo nahīñ gayā
ye vaqt aisā hotā hai
jab marne vaalā
pīchhe rah jaane vāloñ se
aur zinda rah jaane vaale
aage jaane vāloñ se
apnī apnī ġhalatiyoñ kī muāfī māñgte haiñ
aur bachche apnī maaoñ se
duudh baḳhshavāne dauḌe chale aate haiñ
lekin vo phir bhī nahīñ gayā
vo ajiib maḳhmase meñ paḌ gayā
agar us ne duudh nahīñ piyā
to Thiik hai
lekin agar piyā hai
to duudh josh kyoñ nahīñ mārtā
use sab yaad aa rahā thā
baap hī ne use pālā-posā
us kā bachpan aur baap kī javānī
saath saath guzre
us kī nau-ḳhez umrī
aur baap kī adheḌ umrī ek saath aa.e
baap baḌe shauq se
us kī shādī ke baare meñ soch rahā thā
ki qatl ho kar rāhi-e-mulk-e-adam ho gayā
aur vo mab.hūt akelā
khaḌe kā khaḌā rah gayā
us kī shādī kārobār naukrī
hattā ki us ke bachchoñ se
us aurat kā
jise ab vo maañ samajhne lagā thā
bas itnā hī ta'alluq rahā
jitnā ki kisī bhī dūsre shaḳhs
kā ho saktā hai
yahāñ tak ki aaj us kī
ye maañ bhī mar ga.ī
janāze par jaanā bekār lagā
aaj kyoñ kis ke liye
kisī ne kaan meñ kahā
marne vāloñ se kyā iḳhtilāf
vo to un ke saath hī ḳhatm ho jaate haiñ
haañ zindoñ se mumkin hai
mayyat ke sirhāne baiThā
to ruuh ke saare charāġh
ek ek kar ke raushan ho ga.e
vo tamām umr us aurat ke pyaar hī nahīñ
us kī duāoñ ko bhī tarastā thā
aur ab tarastā hī rahegā
yak-dam us ke badan ne jhurjhurī lī
aur nafrat kī ruuh
jaise hamesha ke liye parvāz kar ga.ī
log qabr ko miTTī de rahe the
us ne bhī chhe dahā.īyoñ se
miTTī meñ pakḌī
apnī chāhat kī aglī poTlī
āhistagī se luḌhkā dī
lekin wo nahin gaya
use malum hua ki us ki man
bistar-e-marg par paDi hai
aur shayad chand dinon ki mehman hai
lekin wo nahin gaya
ye waqt aisa hota hai
jab marne wala
pichhe rah jaane walon se
aur zinda rah jaane wale
aage jaane walon se
apni apni ghalatiyon ki muafi mangte hain
aur bachche apni maon se
dudh baKHshawane dauDe chale aate hain
lekin wo phir bhi nahin gaya
wo ajib maKHmase mein paD gaya
agar us ne dudh nahin piya
to Thik hai
lekin agar piya hai
to dudh josh kyon nahin marta
use sab yaad aa raha tha
bap hi ne use pala-posa
us ka bachpan aur bap ki jawani
sath sath guzre
us ki nau-KHez umri
aur bap ki adheD umri ek sath aae
bap baDe shauq se
us ki shadi ke bare mein soch raha tha
ki qatl ho kar rahi-e-mulk-e-adam ho gaya
aur wo mabhut akela
khaDe ka khaDa rah gaya
us ki shadi karobar naukri
hatta ki us ke bachchon se
us aurat ka
jise ab wo man samajhne laga tha
bas itna hi ta'alluq raha
jitna ki kisi bhi dusre shaKHs
ka ho sakta hai
yahan tak ki aaj us ki
ye man bhi mar gai
janaze par jaana bekar laga
aaj kyon kis ke liye
kisi ne kan mein kaha
marne walon se kya iKHtilaf
wo to un ke sath hi KHatm ho jate hain
han zindon se mumkin hai
mayyat ke sirhane baiTha
to ruh ke sare charagh
ek ek kar ke raushan ho gae
wo tamam umr us aurat ke pyar hi nahin
us ki duaon ko bhi tarasta tha
aur ab tarasta hi rahega
yak-dam us ke badan ne jhurjhuri li
aur nafrat ki ruh
jaise hamesha ke liye parwaz kar gai
log qabr ko miTTi de rahe the
us ne bhi chhe dahaiyon se
miTTi mein pakDi
apni chahat ki agli poTli
aahistagi se luDhka di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.