prem bina man suna
Interesting Fact
Bhakti Ras
man bhī suunā
āñgan bhī suunā
āñgan suunā
suunā sab sansār paḌā
suunī ab ye sej paḌī hai
kab tū aa kar prem birāje
añdhiyāre nainan meñ chhā.e
dvāre dvāre DhūñDh ke aa.e
phir bhī terā Thor na jaanā
kaThin baḌā hai tujh ko paanā
chupke se kānoñ meñ kah jā
ḳhushiyoñ kā sandes sunā jā
prem tū apnī Dagar batā jā
kyā tū jogan ban baiThī
duur kahīñ maayā se chhup kar
tū ban ga.ī anokhī
dekh rī tere sog meñ kaisā haal kiyā ham ne apnā
dukh ke kankar patthar chunte komal haath haiñ pathrā.e
jīvan ke raste par bikhre kāñTe sau sau Dañk uThā.e
nafrat kī āñdhī se dhuñdle paḌ ga.e chandā taare
ghir aa.ī hai chāroñ or
dekh ghaTā ghanghor
āñkhoñ se ojhal hai ambar
paap kā jhoñkā chale bhayañkar
halchal mach ga.ī bāhar andar
chāroñ or bagūle uḌte idhar udhar baulā.e
jaise un ko khoj kisī kī
sar Takrāte sar ko uThā.e sar ko jhukā.e
sar ke bal kuchh phirte haiñ
sab ko khoj hai terī
prem kahāñ tū chhup kar baiThī
ham se kyoñ hai rūThī
aa dekh ki tere na hone se
kyā kyā dukh ham ne jhele
prem-pujārī jitne the sab ban ga.e attyāchārī
ḳhud hī attyāchār kare hai
ban baiThe bechāre
apne attyāchār ko bhoge
kaise khel nirāle
lekin un ke man meñ kaisī jvālā jaag uThī hai
ab to terī hī un ko bas antim aas lagī hai
ai jogan
kyā tū bhī DhūñDhe koī prem-pujārī
us kī khoj meñ ban ga.ī hai tū bilkul hī ban-bāsī
man meñ jhāñk ke dekh le sab ke
terī chaah basī hai
duurī terī bhaḌkā.e hai ab to man meñ Daah
aur hamāre hoñToñ kā har shabd banā hai aah
prem kahe tab mīThe bol
mat āñsuoñ ke motī rol
bhūle-bisre prem-pujārī
prem kī jogan terī lagan meñ
kho.e hue qismat ke taare
kyoñ tū DhūñDhe niil gagan meñ
aan ke bas jā mere man meñ
prem kī mudrā pyāse tan meñ
lagī hilore lene
jaldī se pahchān le mujh ko
prem hī de nirvān bhī tujh ko
prem kī jogan
sajal salonī
detī hai sandesā
bastī bastī
parbat parbat
gaatī giit albelā
miTTī kī mūrat tum ko to jaanā hai miTTī meñ
jaise phuul kī pattī bikhre mil jaa.e miTTī meñ
lekin ḳhushbū ban kar phaile
prem sadā jīvan meñ
prem hī saarā jan jīvan hai
prem hī terī chhāyā
prem hī darpan
prem hī mahimā
prem hī 'hānī' kaayā
prem hī bhaktī
prem hī shaktī
prem hī terī muktī
man bhi suna
aangan bhi suna
aangan suna
suna sab sansar paDa
suni ab ye sej paDi hai
kab tu aa kar prem biraje
andhiyare nainan mein chhae
dware dware DhunDh ke aae
phir bhi tera Thor na jaana
kaThin baDa hai tujh ko pana
chupke se kanon mein kah ja
KHushiyon ka sandes suna ja
prem tu apni Dagar bata ja
kya tu jogan ban baiThi
dur kahin maya se chhup kar
tu ban gai anokhi
dekh ri tere sog mein kaisa haal kiya hum ne apna
dukh ke kankar patthar chunte komal hath hain pathrae
jiwan ke raste par bikhre kanTe sau sau Dank uThae
nafrat ki aandhi se dhundle paD gae chanda tare
ghir aai hai chaaron or
dekh ghaTa ghanghor
aankhon se ojhal hai ambar
pap ka jhonka chale bhayankar
halchal mach gai bahar andar
chaaron or bagule uDte idhar udhar baulae
jaise un ko khoj kisi ki
sar Takraate sar ko uThae sar ko jhukae
sar ke bal kuchh phirte hain
sab ko khoj hai teri
prem kahan tu chhup kar baiThi
hum se kyon hai ruThi
aa dekh ki tere na hone se
kya kya dukh hum ne jhele
prem-pujari jitne the sab ban gae attyachaari
KHud hi attyachaar kare hai
ban baiThe bechaare
apne attyachaar ko bhoge
kaise khel nirale
lekin un ke man mein kaisi jwala jag uThi hai
ab to teri hi un ko bas antim aas lagi hai
ai jogan
kya tu bhi DhunDhe koi prem-pujari
us ki khoj mein ban gai hai tu bilkul hi ban-basi
man mein jhank ke dekh le sab ke
teri chah basi hai
duri teri bhaDkae hai ab to man mein Dah
aur hamare honTon ka har shabd bana hai aah
prem kahe tab miThe bol
mat aansuon ke moti rol
bhule-bisre prem-pujari
prem ki jogan teri lagan mein
khoe hue qismat ke tare
kyon tu DhunDhe nil gagan mein
aan ke bas ja mere man mein
prem ki mudra pyase tan mein
lagi hilore lene
jaldi se pahchan le mujh ko
prem hi de nirwan bhi tujh ko
prem ki jogan
sajal saloni
deti hai sandesa
basti basti
parbat parbat
gati git albela
miTTi ki murat tum ko to jaana hai miTTi mein
jaise phul ki patti bikhre mil jae miTTi mein
lekin KHushbu ban kar phaile
prem sada jiwan mein
prem hi sara jan jiwan hai
prem hi teri chhaya
prem hi darpan
prem hi mahima
prem hi 'hani' kaya
prem hi bhakti
prem hi shakti
prem hi teri mukti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.