premchand ek tha ek se ek jahan ban gaya
muflisī thī to us meñ bhī ik shaan thī
kuchh na thā kuchh na hone pe bhī aan thī
choT khātī ga.ī choT kartī ga.ī
zindagī kis qadar murda maidān thī
jo ba-zāhir shikasta sā ik saaz thā
vo karoḌoñ dukhe dil kī āvāz thā
raah meñ girte paḌte sambhalte hue
sāmrājī ke tevar badalte hue
aa ga.e zindagī ke na.e moḌ par
maut ke rāste se Tahalte hue
ban ke bādal uThe desh par chhā ga.e
prem-ras sūkhe khetoñ pe barsā ga.e
ab vo jantā kī sampat hai dhanpat nahīñ
sirf do-chār ke ghar kī daulat nahīñ
lākhoñ dil ek hoñ jis meñ vo prem hai
do diloñ kī mohabbat mohabbat nahīñ
apne sandesh se sab ko chauñkā diyā
'prem' ne prem kā arth samjhā diyā
fard thā fard se kārvāñ ban gayā
ek thā ek se ik jahāñ ban gayā
ai banaras tirā ek musht-e-ġhubār
uTh ke me.amār-e-hindostāñ ban gayā
marne vaale ke jiine kā andāz dekh
dekh kāshī kī miTTī kā e.ajāz dekh
muflisi thi to us mein bhi ek shan thi
kuchh na tha kuchh na hone pe bhi aan thi
choT khati gai choT karti gai
zindagi kis qadar murda maidan thi
jo ba-zahir shikasta sa ek saz tha
wo karoDon dukhe dil ki aawaz tha
rah mein girte paDte sambhalte hue
samraji ke tewar badalte hue
aa gae zindagi ke nae moD par
maut ke raste se Tahalte hue
ban ke baadal uThe desh par chha gae
prem-ras sukhe kheton pe barsa gae
ab wo janta ki sampat hai dhanpat nahin
sirf do-chaar ke ghar ki daulat nahin
lakhon dil ek hon jis mein wo prem hai
do dilon ki mohabbat mohabbat nahin
apne sandesh se sab ko chaunka diya
'prem' ne prem ka arth samjha diya
fard tha fard se karwan ban gaya
ek tha ek se ek jahan ban gaya
ai banaras tera ek musht-e-ghubar
uTh ke meamar-e-hindostan ban gaya
marne wale ke jine ka andaz dekh
dekh kashi ki miTTi ka eajaz dekh
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 409)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.