premchand ko KHiraj-e-aqidat
premchand ko KHiraj-e-aqidat
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
vo premchand-munshī-e-be-misl-o-be-badal
thī jis ke dam se bazm-e-adab meñ chahal-pahal
afsāne jis ke sham-e-hidāyat the bar-mahal
nā-vaqt aah ho gayā vo luqma-e-ajal
is soz-e-jāñ-gusil se har ik dil kabāb hai
fart-e-tapish hai ātish-e-ġham be-hisāb hai
ilmī shaġhaf se us ke nahīñ kaun bā-ḳhabar
har qalb par fasāne hue naqsh kal.hajar
hai bahr-e-ilm terī ravānī se sar-basar
dāmān-o-jeb-e-urdu-o-hindī haiñ pur-guhar
tarz-e-bayāñ har ek kā tū ne dikhā diyā
dhabba har ik kā apne qalam se miTā diyā
bazm-e-adab ko ḳhvāb meñ bhī ye na thā ḳhayāl
unnīs sau chhattīs kā nahs hogā us ko saal
avval vafāt-e-barq kā us ko huā malāl
phir chal diyā jahān se ye munshī-bā-kamāl
naqsh-e-qarār sail-e-fanā se miTā hai aaj
aivān-e-nazm-o-nasr meñ mātam bapā hai aaj
tujh ko premchand ye shāyad nahīñ ḳhabar
kitnā vafāt kā tirī duniyā pe hai asar
'sūfī' jahāñ meñ DhūñDhtī hai us ko har nazar
ai māhtāb-e-ishq batā tū chhupā kidhar
kyā shauq sāma.īñ kā farāmosh ho gayā
afsāna kahte kahte jo ḳhud haa.e so gayā
wo premchand-munshi-e-be-misl-o-be-badal
thi jis ke dam se bazm-e-adab mein chahal-pahal
afsane jis ke sham-e-hidayat the bar-mahal
na-waqt aah ho gaya wo luqma-e-ajal
is soz-e-jaan-gusil se har ek dil kabab hai
fart-e-tapish hai aatish-e-gham be-hisab hai
ilmi shaghaf se us ke nahin kaun ba-KHabar
har qalb par fasane hue naqsh kalhajar
hai bahr-e-ilm teri rawani se sar-basar
daman-o-jeb-e-urdu-o-hindi hain pur-guhar
tarz-e-bayan har ek ka tu ne dikha diya
dhabba har ek ka apne qalam se miTa diya
bazm-e-adab ko KHwab mein bhi ye na tha KHayal
unnis sau chhattis ka nahs hoga us ko sal
awwal wafat-e-barq ka us ko hua malal
phir chal diya jahan se ye munshi-ba-kamal
naqsh-e-qarar sail-e-fana se miTa hai aaj
aiwan-e-nazm-o-nasr mein matam bapa hai aaj
tujh ko premchand ye shayad nahin KHabar
kitna wafat ka teri duniya pe hai asar
'sufi' jahan mein DhunDhti hai us ko har nazar
ai mahtab-e-ishq bata tu chhupa kidhar
kya shauq samain ka faramosh ho gaya
afsana kahte kahte jo KHud hae so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.