Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prit ka git

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    mohabbat murlī bajā.e chalā

    mohabbat ke naġhme sunā.e chalā

    mohabbat miinā ko baḌh kar uThā le

    mohabbat ke sāġhar luñDhā.e chalā

    parbat hai man us gañgotarī se

    mohabbat gangā bahā.e chalā

    mohabbat ke sāgar meñ ban kar khevayyā

    mohabbat nayyā tirā.e chalā

    mohabbat duniyā ke rangīn qisse

    sunā kar diloñ ko lubhā.e chalā

    masarrat ḳhushbū zamāne meñ phaile

    mohabbat ke ġhunche khilā.e chalā

    adāvat ke peḌoñ ko jaḌ se haTā kar

    mohabbat ke paude lagā.e chalā

    mohabbat se baḌh kar nahīñ koī jaadū

    mohabbat jaadū jagā.e chalā

    hai jab tak tirī jaan meñ jaan 'nayyar'

    yahī giit din-rāt gaa.e chalā

    mohabbat ki murli bajae chala ja

    mohabbat ke naghme sunae chala ja

    mohabbat ki mina ko baDh kar uTha le

    mohabbat ke saghar lunDhae chala ja

    parbat hai man us ki gangotari se

    mohabbat ki ganga bahae chala ja

    mohabbat ke sagar mein ban kar khewayya

    mohabbat ki nayya tirae chala ja

    mohabbat ki duniya ke rangin qisse

    suna kar dilon ko lubhae chala ja

    masarrat ki KHushbu zamane mein phaile

    mohabbat ke ghunche khilae chala ja

    adawat ke peDon ko jaD se haTa kar

    mohabbat ke paude lagae chala ja

    mohabbat se baDh kar nahin koi jadu

    mohabbat ka jadu jagae chala ja

    hai jab tak teri jaan mein jaan 'nayyar'

    yahi git din-raat gae chala ja

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now