priwate ward
abhī abhī koī bosīda shahr guzregā
train
kaale añdhere kī shāḳh se lipTī
purānī bujhtī huī lālTain dekhegī
tamām chehra havelī hai
haath aur paañv
Dhake hue haiñ libādoñ se
koī hañstā hai
azal kī buuñd se
antim surāġh kī khaa.ī
zarā sī raushnī detī hai
balcony se
adheḌ umr kī aurat bhī girne vaalī hai
makāñ ke sāmne hisse meñ
car ruktī hai
ab aa.e doctor
kaise ho
baal DāḌhī ke
safed tinkoñ meñ tabdīl ho ga.e haiñ kyā
badan kitāb kā pannā hai
raushnī pheñko
tumhārī piiTh se
jo sīḌhiyāñ nikaltī haiñ
tum un pe chaḌh ke abhī apnī khoī bheḌoñ ko
sadā.eñ doge
pakaḌ legā bārishoñ kā ġham
ye kaisā shor hai chhat par
ajab havelī hai
ajiib shor hai mujh meñ
train ruktī hai
abad kā paanī
utartā hai lālTain meñ kyā
abhi abhi koi bosida shahr guzrega
train
kale andhere ki shaKH se lipTi
purani bujhti hui lalTain dekhegi
tamam chehra haweli hai
hath aur panw
Dhake hue hain libaadon se
koi hansta hai
azal ki bund se
antim suragh ki khai
zara si raushni deti hai
balcony se
adheD umr ki aurat bhi girne wali hai
makan ke samne hisse mein
car rukti hai
ab aae doctor
kaise ho
baal DaDhi ke
safed tinkon mein tabdil ho gae hain kya
badan kitab ka panna hai
raushni phenko
tumhaari piTh se
jo siDhiyan nikalti hain
tum un pe chaDh ke abhi apni khoi bheDon ko
sadaen doge
pakaD lega barishon ka gham
ye kaisa shor hai chhat par
ajab haweli hai
ajib shor hai mujh mein
train rukti hai
abad ka pani
utarta hai lalTain mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.