Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

professor

Raza Naqvi Vahi

professor

Raza Naqvi Vahi

MORE BYRaza Naqvi Vahi

    college ke mudarris se jo ho aap ko milnā

    vo pichhle pahar apne nasheman meñ milegā

    aur sub.h ko vo chand kitāboñ muallif

    nāshir se taqāzā-e-commission meñ milegā

    aur din ko vo college meñ paḌhāne se ziyāda

    mashshātgī-e-zulf-e-election meñ milegā

    kholegā siyāsat girah chashm-zadan meñ

    lekin dam-e-lecture baḌī uljhan meñ milegā

    'ġhālib' ke kisī sher matlab na samajh kar

    pesh-e-talabā qalb dhaḌkan meñ milegā

    uljhegā jo 'iqbāl' ke gesū-e-ḳhudī meñ

    tajziyya-e-fankārī-e-milTon meñ milegā

    lecture bhī jo degā to vo matter se ziyāda

    uljhā huā style-o-diction malegā

    tahqīq saudā kabhī hogā to sar-e-shām

    paḌhtā huā katba kisī madfan meñ milegā

    aur raat ko bachchoñ ko kisī baat pe dhap ke

    makkhī tarah biivī se bhan-bhan meñ milegā

    college ke mudarris se jo ho aap ko milna

    wo pichhle pahar apne nasheman mein milega

    aur subh ko wo chand kitabon ka muallif

    nashir se taqaza-e-commission mein milega

    aur din ko wo college mein paDhane se ziyaada

    mashshatgi-e-zulf-e-election mein milega

    kholega siyasat ki girah chashm-zadan mein

    lekin dam-e-lecture baDi uljhan mein milega

    'ghaalib' ke kisi sher ka matlab na samajh kar

    pesh-e-talaba qalb ki dhaDkan mein milega

    uljhega jo 'iqbaal' ke gesu-e-KHudi mein

    tajziyya-e-fankari-e-milTon mein milega

    lecture bhi jo dega to wo matter se ziyaada

    uljha hua style-o-diction malega

    tahqiq ka sauda kabhi hoga to sar-e-sham

    paDhta hua katba kisi madfan mein milega

    aur raat ko bachchon ko kisi baat pe dhap ke

    makkhi ki tarah biwi se bhan-bhan mein milega

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now