prometheus
agar maiñ kahtā huuñ jiinā hai qaid-e-tanhā.ī
to zindagānī kī qīmat pe harf kyuuñ aa.e
agar na aayā mujhe sāzgār vasl-e-habīb
to e'timād-e-mohabbat pe harf kyuuñ aa.e
agar mile mujhe virse meñ kuchh shikasta khañDar
to kā.enāt kī vus.at pe harf kyuuñ aa.e
agar dikhā.ī diye mujh ko aadmī aaseb
to asr-e-nau kī basīrat pe harf kyuuñ aa.e
agar na rāh-e-yaqīñ pā sakī mirī tashkīk
to fikr-o-fan kī sharāfat pe harf kyuuñ aa.e
agar ḳhizāñ hī milī mujh ko aañkh khulne par
to fasl-e-gul kī amānat pe harf kyuuñ aa.e
agar mire ġham-e-be-nām ko milī vahshat
to bazm-e-jashn-e-masarrat pe harf kyuuñ aa.e
maiñ apne ahd kā huuñ nauha-ḳhvāñ na diije daad
qasīda-ḳhvāñ kī rivāyat pe harf kyuuñ aa.e
agar hunar hai mirā jins-e-kam-ayār to ho
zamīr-o-dil kī tijārat pe harf kyuuñ aa.e
maiñ apne ḳhvāboñ kā bhaTkā huā musāfir huuñ
agar mujhe na milī manzil-e-najāt to kyā
maiñ apnī ruuh kī tanhā.iyoñ kā sho.ala huuñ
havā-e-dahr meñ hāsil nahīñ sabāt to kyā
maiñ apnī turfagī-e-tab.a kā to pī luuñ zahr
jo dastaras meñ nahīñ chashma-e-hayāt to kyā
maiñ apnī zaat kī ḳhalvat kā hairatī hī sahī
jo mujh pe khul na sakā rāz-e-kā.enāt to kyā
maiñ apne ḳhuuñ ke charāġhoñ ko raushnī de duuñ
sahar-nasīb na ho paa.e merī raat to kyā
maiñ aap se na kahūñgā ki hai ziyāñ jaañ kā
ḳhayāl-e-shīsha-e-dil sañg-āzmā na kare
maiñ aap se nahīñ chāhūñgā dād-e-jāñ-bāzī
duā hai aap ko ġham dard-āshnā na kare
maiñ aap se nahīñ māñgūñgā ḳhūñ-bahā-e-vafā
koī to tark rah-o-rasm-e-āshiqāna kare
maiñ aap ko na dikhā.ūñgā apne zaḳhmī ḳhvāb
ḳhalal ho aap ke ārām meñ ḳhudā na kare
magar zamīn prometheus ko kyuuñ roke
jo vo jahāñ ke ḳhudāoñ se jañg kartā hai
use na maut ke aaseb paas aane deñ
jo āsmānoñ se le kar hayāt utartā hai
hai Dar pighalne kā dekheñ idhar na barf ke but
jo koī sho.ala-e-uryāñ ye haath dhartā hai
azaab us pe kareñ kam na qahr ke devtā
jo apnī aag meñ jal kar bhī raqs kartā hai
ise na maane kabhī be-hisī hayāt-parast
har ek saañs pe jo zinda ho ke martā hai
kareñ na aap mudāvā-e-soz-e-ātish-e-ġham
ye zulm mujh pe to har roz-o-shab guzartā hai
salāmat aap kā īmān maiñ to huuñ kāfir
har ek vaz.a se apnī hayāt kartā hai
agar main kahta hun jina hai qaid-e-tanhai
to zindagani ki qimat pe harf kyun aae
agar na aaya mujhe sazgar wasl-e-habib
to e'timad-e-mohabbat pe harf kyun aae
agar mile mujhe wirse mein kuchh shikasta khanDar
to kaenat ki wusat pe harf kyun aae
agar dikhai diye mujh ko aadmi aaseb
to asr-e-nau ki basirat pe harf kyun aae
agar na rah-e-yaqin pa saki meri tashkik
to fikr-o-fan ki sharafat pe harf kyun aae
agar KHizan hi mili mujh ko aankh khulne par
to fasl-e-gul ki amanat pe harf kyun aae
agar mere gham-e-be-nam ko mili wahshat
to bazm-e-jashn-e-masarrat pe harf kyun aae
main apne ahd ka hun nauha-KHwan na dije dad
qasida-KHwan ki riwayat pe harf kyun aae
agar hunar hai mera jins-e-kam-ayar to ho
zamir-o-dil ki tijarat pe harf kyun aae
main apne KHwabon ka bhaTka hua musafir hun
agar mujhe na mili manzil-e-najat to kya
main apni ruh ki tanhaiyon ka shoala hun
hawa-e-dahr mein hasil nahin sabaat to kya
main apni turfagi-e-taba ka to pi lun zahr
jo dastaras mein nahin chashma-e-hayat to kya
main apni zat ki KHalwat ka hairati hi sahi
jo mujh pe khul na saka raaz-e-kaenat to kya
main apne KHun ke charaghon ko raushni de dun
sahar-nasib na ho pae meri raat to kya
main aap se na kahunga ki hai ziyan jaan ka
KHayal-e-shisha-e-dil sang-azma na kare
main aap se nahin chahunga dad-e-jaan-bazi
dua hai aap ko gham dard-ashna na kare
main aap se nahin mangunga KHun-baha-e-wafa
koi to tark rah-o-rasm-e-ashiqana kare
main aap ko na dikhaunga apne zaKHmi KHwab
KHalal ho aap ke aaram mein KHuda na kare
magar zamin prometheus ko kyun roke
jo wo jahan ke KHudaon se jang karta hai
use na maut ke aaseb pas aane den
jo aasmanon se le kar hayat utarta hai
hai Dar pighalne ka dekhen idhar na barf ke but
jo koi shoala-e-uryan ye hath dharta hai
azab us pe karen kam na qahr ke dewta
jo apni aag mein jal kar bhi raqs karta hai
ise na mane kabhi be-hisi hayat-parast
har ek sans pe jo zinda ho ke marta hai
karen na aap mudawa-e-soz-e-atish-e-gham
ye zulm mujh pe to har roz-o-shab guzarta hai
salamat aap ka iman main to hun kafir
har ek waza se apni hayat karta hai
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 597)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.