pukar waqt ki
chalo ki pahle nafratoñ kī
ān-bān toḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
alag alag ye rāstoñ pe reñgte se qāfile
qadam qadam musāfiroñ ke TūTte se hausle
ye reñgte se qāfiloñ ko
TūTte se hausloñ ko
ik Dagar se joḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
ye shahr shahr ḳhuun ke bahāv meñ basā huā
ye gaañv gaañv aapsī tanāv meñ kasā huā
ye ḳhuun ke bahāo kī
ye aapsī tanāv kī
kalā.iyāñ maroḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
galī galī TaToltī ghaTā.eñ luuT maar kī
nagar nagar meñ Doltī havā.eñ intishār kī
ye lūT-mār kī ghaTā
ye intishār kī havā
samundaroñ meñ chhoḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
ye aadmī se aadmī kī dūriyāñ ye khā.iyāñ
ye apne haath se tabāh ho ke phir duhā.iyāñ
ye dūriyāñ ye khā.iyāñ
ye chīḳh ye duhā.iyāñ
har ik qadam jhiñjhoḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
ye sūkhe sūkhe phuul par bahār kī javāniyāñ
ye jhulse jhulse rang ruup baaġh kī nishāniyāñ
javāniyoñ ke jaam meñ
nishāniyoñ kī shaam meñ
rutoñ kā ḳhuuñ nichoḌ deñ ye vaqt kī pukār hai
chalo ki pahle nafraton ki
aan-ban toD den ye waqt ki pukar hai
alag alag ye raston pe rengte se qafile
qadam qadam musafiron ke TuTte se hausle
ye rengte se qafilon ko
TuTte se hauslon ko
ek Dagar se joD den ye waqt ki pukar hai
ye shahr shahr KHun ke bahaw mein basa hua
ye ganw ganw aapsi tanaw mein kasa hua
ye KHun ke bahao ki
ye aapsi tanaw ki
kalaiyan maroD den ye waqt ki pukar hai
gali gali TaTolti ghaTaen luT mar ki
nagar nagar mein Dolti hawaen intishaar ki
ye luT-mar ki ghaTa
ye intishaar ki hawa
samundaron mein chhoD den ye waqt ki pukar hai
ye aadmi se aadmi ki duriyan ye khaiyan
ye apne hath se tabah ho ke phir duhaiyan
ye duriyan ye khaiyan
ye chiKH ye duhaiyan
har ek qadam jhinjhoD den ye waqt ki pukar hai
ye sukhe sukhe phul par bahaar ki jawaniyan
ye jhulse jhulse rang rup bagh ki nishaniyan
jawaniyon ke jam mein
nishaniyon ki sham mein
ruton ka KHun nichoD den ye waqt ki pukar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.