pukar
ye kachchī kaliyāñ gulāb jaisī
ye kis ne in ko masal diyā hai
ye kis ne in ko kuchal diyā hai
ki shāh-rāhoñ meñ haiñ fasurda
kahāñ haiñ maalī kahāñ haiñ ġhunche
kahāñ ga.e sab muhāfiz-e-gul
lahū kā kis ne ḳhirāj māñgā
ki sahn-e-gulshan lahū lahū hai
kabīda maalī fasurda ġhunche
hadoñ se apnī guzar ga.e haiñ
idhar udhar sab bikhar ga.e haiñ
hisār-e-zulmat meñ kho ga.e haiñ
hai kaun un ko azaan de kar
safoñ meñ lā kar khaḌā karegā
havas ke bandoñ ko dars degā
diyā jalā ke uḳhuvvatoñ kā
ye zulm ham sab saheñge kab tak
ye āshiyāne jaleñge kab tak
udaas gulshan rahegā kab tak
ye ḳhūn-e-nāhaq bahegā kab tak
udaas nasloñ ke vāriso tum
lahū kā kab tak ḳhirāj doge
anā kī mūrat ko toḌ Daalo
havas ke bando sitam-zarīfo
uḳhuvvatoñ kā salām le kar
mohabbatoñ kā payām le kar
baḌho ki manzil pukārtī hai
baḌho ki manzil pukārtī hai
ye kachchi kaliyan gulab jaisi
ye kis ne in ko masal diya hai
ye kis ne in ko kuchal diya hai
ki shah-rahon mein hain fasurda
kahan hain mali kahan hain ghunche
kahan gae sab muhafiz-e-gul
lahu ka kis ne KHiraj manga
ki sahn-e-gulshan lahu lahu hai
kabida mali fasurda ghunche
hadon se apni guzar gae hain
idhar udhar sab bikhar gae hain
hisar-e-zulmat mein kho gae hain
hai kaun un ko azan de kar
safon mein la kar khaDa karega
hawas ke bandon ko dars dega
diya jala ke uKHuwwaton ka
ye zulm hum sab sahenge kab tak
ye aashiyane jalenge kab tak
udas gulshan rahega kab tak
ye KHun-e-nahaq bahega kab tak
udas naslon ke wariso tum
lahu ka kab tak KHiraj doge
ana ki murat ko toD Dalo
hawas ke bando sitam-zarifo
uKHuwwaton ka salam le kar
mohabbaton ka payam le kar
baDho ki manzil pukarti hai
baDho ki manzil pukarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.