pul
baḌī muddatoñ meñ mire sahn kī mīThī niim ek dam guuñj uTThī
harī pattiyoñ meñ kahīñ koī baajā bajā
koī sur pighal kar havāoñ meñ bahne lagā
baḌī muddatoñ meñ daraḳht aaj phir mujh se kuchh kahne sunñe lagā
koī sur pighal kar havāoñ meñ bahne lagā
maiñ tabdīl hone lagā
lagā rail kī siiTī sun kar koī lomḌī chīḳhtī ho
lagā horn sun kar ki kuttoñ kā dil bhūñktā ho
lagā kār-ḳhānoñ ke bhoñpū gadhoñ kī tarah reñgte hoñ
lagā jaise pressure-cōker meñ ġhizāoñ kā dam ghuT rahā ho
lagā jaise chhat par chaḌhā tez pañkhā bahut der se baḌbaḌātā chalā jā rahā ho
agar koī sur meñ hai to bas vahī ajnabī tanhā bulbul
ki jis ne zarā der ko niim kī Dāliyoñ ko chaman-zār 'ḳhayyām-neshā-pūrī'
kā banā kar
mujhe apnī patthar jagī aatmā se mulāqāt kā phir se mauqa.a diyā hai!
baDi muddaton mein mere sahn ki miThi nim ek dam gunj uTThi
hari pattiyon mein kahin koi baja baja
koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga
baDi muddaton mein daraKHt aaj phir mujh se kuchh kahne sunne laga
koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga
main tabdil hone laga
laga rail ki siTi sun kar koi lomDi chiKHti ho
laga horn sun kar ki kutton ka dil bhunkta ho
laga kar-KHanon ke bhonpu gadhon ki tarah rengte hon
laga jaise pressure-cooker mein ghizaon ka dam ghuT raha ho
laga jaise chhat par chaDha tez pankha bahut der se baDbaData chala ja raha ho
agar koi sur mein hai to bas wahi ajnabi tanha bulbul
ki jis ne zara der ko nim ki Daliyon ko chaman-zar 'KHayyam-nesha-puri'
ka bana kar
mujhe apni patthar jagi aatma se mulaqat ka phir se mauqa diya hai!
- Book : Inkaar (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.