pur-asrar
jaane kitne dukh haiñ in chehroñ ke pīchhe
jin ko sukh bāñTte maiñ ne dekhā hai
jaane kitnī ḳhushiyoñ ke haiñ rang
in boltī āñkhoñ meñ jo har lamha ḳhāmosh raheñ
jaane kaisī gadlāhaT hai in rūhoñ meñ
jin kī ujlī gahrā.ī meñ ek zamāna Duub gayā
jaane kitne dukh hain in chehron ke pichhe
jin ko sukh banTte main ne dekha hai
jaane kitni KHushiyon ke hain rang
in bolti aankhon mein jo har lamha KHamosh rahen
jaane kaisi gadlahaT hai in ruhon mein
jin ki ujli gahrai mein ek zamana Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.