purana coat
banā hai coat ye nīlām kī dukāñ ke liye
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye
baḌā buzurg hai ye āzmūda-kār hai ye
kisī mare hue gore kī yādgār hai ye
na dekh kuhniyoñ pe is kī ḳhasta-sāmānī
pahan chuke haiñ ise turk aur īrānī
baḌā buzurg hai ye go qalīl qīmat hai
miyāñ buzurgoñ kā saaya baḌā ġhanīmat hai
jo qadr-dān haiñ vo jānte haiñ qīmat ko
ki āftāb churā le gayā hai rañgat ko
ye coat coatoñ kī duniyā kā bāvā-ādam hai
agarche hai vo nigah jo nigāh se kam hai
guzishta sadiyoñ kī tārīḳh kā varaq hai ye coat
ḳharīdo is ko ki ibrat kā ik sabaq hai ye coat
bana hai coat ye nilam ki dukan ke liye
sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye
baDa buzurg hai ye aazmuda-kar hai ye
kisi mare hue gore ki yaadgar hai ye
na dekh kuhniyon pe is ki KHasta-samani
pahan chuke hain ise turk aur irani
baDa buzurg hai ye go qalil qimat hai
miyan buzurgon ka saya baDa ghanimat hai
jo qadr-dan hain wo jaante hain qimat ko
ki aaftab chura le gaya hai rangat ko
ye coat coaton ki duniya ka bawa-adam hai
agarche hai wo nigah jo nigah se kam hai
guzishta sadiyon ki tariKH ka waraq hai ye coat
KHarido is ko ki ibrat ka ek sabaq hai ye coat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.