purana ghar
ye un dinoñ kī baat hai
jab ghar ke ek kamre meñ
dukh aur malāl mañDlī sajā ke baiThā karte
aur masrūfiyat bahāne bahāne se vahāñ
tāk-jhāñk kartī
dūsre kamre meñ
diloñ meñ naqab lagāne ke sab mansūbe
aapas meñ baiTh kar taash khelā karte
aur maiñ har thoḌī der baa'd
tumhārī ādateñ DhūñDne
store ke chakkar kāTtā rahtā
niiñd khūñTiyoñ par Tañgī rahtī aur
shadīd garmī meñ bhī
tumhārī yaad oḌh ke leTnā paḌtā
bāhar galī meñ kheltī huī ḳhushiyoñ kā shor
us vaqt aur bhī burā lagtā
jab koī aarzū dīvār phalāñg kar
sahn meñ aa girtī aur maiñ
sone kī adākārī karte karte
sach-much so jaatā
ye un dinon ki baat hai
jab ghar ke ek kamre mein
dukh aur malal manDli saja ke baiTha karte
aur masrufiyat bahane bahane se wahan
tak-jhank karti
dusre kamre mein
dilon mein naqab lagane ke sab mansube
aapas mein baiTh kar tash khela karte
aur main har thoDi der ba'd
tumhaari aadaten DhunDne
store ke chakkar kaTta rahta
nind khunTiyon par Tangi rahti aur
shadid garmi mein bhi
tumhaari yaad oDh ke leTna paDta
bahar gali mein khelti hui KHushiyon ka shor
us waqt aur bhi bura lagta
jab koi aarzu diwar phalang kar
sahn mein aa girti aur main
sone ki adakari karte karte
sach-much so jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.