purane KHwab
sunī sunī sī lagī hai mujh ko
vo sardiyoñ meñ lihāf oḌhe hue kahānī
kahīñ alaav ke gird chalte hue vo qisse saroñ pe apne añgochhe bāñdhe hue vo qisse
alaav ke gird jalte bujhte hue vo qisse kahīñ pe shahzādiyoñ ke qisse
kahīñ parindoñ kī khichḌiyoñ kī vahī kahānī
vo ek chiḌā jo khā gayā thā tamām khichḌī
kahīñ namak sī kahīñ mirch sī
kabhī vo mīThī khaTā.ī jaisī na.ī kahānī
bahut purānī sī baat hai ye
na ab alaav ke gird mela
na chiḌiyā chiḌe kī vo kahānī
namak kī ḳhātir na shāhzādī ne dukh uThā.e
vo shāhzāda jo jañgaloñ meñ talāsh kartā rahā thā paanī
vahīñ pe us ko parī milī thī
tamām jañgal bhī kaT chuke haiñ
sirāj anvar ke saare jañgal kahīñ nahīñ haiñ
vo saarī pariyāñ bhī so ga.ī haiñ
na shahzāde
na koī jaadū bharī kahānī kahāñ haiñ nastor ke vo qisse
jo haath apnā baḌhā ke dāvāt khīñchtā thā
bas ab to vo daur bhī ḳhatm hai
nahīñ haiñ bachchoñ ke vo risāle
khilaunā phulvārī sharīr laḌkā
na moTū patlū ke pyāre qisse
bas ab to ḳhabreñ dahāḌtī haiñ
suni suni si lagi hai mujh ko
wo sardiyon mein lihaf oDhe hue kahani
kahin alaw ke gird chalte hue wo qisse saron pe apne angochhe bandhe hue wo qisse
alaw ke gird jalte bujhte hue wo qisse kahin pe shahzadiyon ke qisse
kahin parindon ki khichDiyon ki wahi kahani
wo ek chiDa jo kha gaya tha tamam khichDi
kahin namak si kahin mirch si
kabhi wo miThi khaTai jaisi nai kahani
bahut purani si baat hai ye
na ab alaw ke gird mela
na chiDiya chiDe ki wo kahani
namak ki KHatir na shahzadi ne dukh uThae
wo shahzada jo jangalon mein talash karta raha tha pani
wahin pe us ko pari mili thi
tamam jangal bhi kaT chuke hain
siraj anwar ke sare jangal kahin nahin hain
wo sari pariyan bhi so gai hain
na shahzade
na koi jadu bhari kahani kahan hain nastor ke wo qisse
jo hath apna baDha ke dawat khinchta tha
bas ab to wo daur bhi KHatm hai
nahin hain bachchon ke wo risale
khilauna phulwari sharir laDka
na moTu patlu ke pyare qisse
bas ab to KHabren dahaDti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.