purane mandir mein sham
ab to vahāñ
nishān hai
jahāñ
kabhī devtā ki mūrtī rahī hogī
shikasta shahtīr meñ
phañsā
bachā
zanjīr kā halqa
jis meñ
shāyad kabhī ghanTī laTaktī ho
sahn meñ raakh hai
kisī ne alaav jalāyā hogā
raushnī aur garmī ke liye
daraktī dahlīz par
revaḌ se bichhḌī
bheḌ
purāne sajde chuntī hai
piile paa.e dānoñ par
nuqūsh-e-pā ubharte haiñ
ab to wahan
nishan hai
jahan
kabhi dewta ki murti rahi hogi
shikasta shahtir mein
phansa
bacha
zanjir ka halqa
jis mein
shayad kabhi ghanTi laTakti ho
sahn mein rakh hai
kisi ne alaw jalaya hoga
raushni aur garmi ke liye
darakti dahliz par
rewaD se bichhDi
bheD
purane sajde chunti hai
pile pae danon par
nuqush-e-pa ubharte hain
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 27)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.