purane sahilon par naya git
samundar chāñdnī meñ raqs kartā hai
parinde bādaloñ meñ chhup ke kaise gungunāte haiñ
zamīñ ke bhed jaise chāñd tāroñ ko batāte haiñ
havā sargoshiyoñ ke jaal buntī hai
tumheñ fursat mile to dekhnā
lahroñ meñ ik kashtī hai
aur kashtī meñ ik tanhā musāfir hai
musāfir ke laboñ par vāpsī ke giit
lahroñ kī subuk-gāmī meñ Dhalte
dāstāñ kahte
jazīroñ meñ kahīñ bahte
purāne sāhiloñ par gūñjte rahte
kisī māñjhī ke naġhmoñ se gale mil kar palaTte haiñ
tumhārī yaad kā safha ulaTre haiñ
abhī kuchh raat baaqī hai
tumhārā aur merā saath baaqī hai
añdheroñ meñ chhupā ik raushnī kā haath baaqī hai
chale aanā
ki ham us aane vaalī sub.h ko ik saath dekheñge
samundar chandni mein raqs karta hai
parinde baadalon mein chhup ke kaise gungunate hain
zamin ke bhed jaise chand taron ko batate hain
hawa sargoshiyon ke jal bunti hai
tumhein fursat mile to dekhna
lahron mein ek kashti hai
aur kashti mein ek tanha musafir hai
musafir ke labon par wapsi ke git
lahron ki subuk-gami mein Dhalte
dastan kahte
jaziron mein kahin bahte
purane sahilon par gunjte rahte
kisi manjhi ke naghmon se gale mil kar palaTte hain
tumhaari yaad ka safha ulaTre hain
abhi kuchh raat baqi hai
tumhaara aur mera sath baqi hai
andheron mein chhupa ek raushni ka hath baqi hai
chale aana
ki hum us aane wali subh ko ek sath dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.