pursa
ek muddat se jo ḳhadsha thā vahī baat huī
Dhal ga.ī shaam sahar ruuTh ga.ī raat huī
aaj kī sub.h añdheroñ ko bhī laa.ī hamrāh
maut ke zahr se peshānī-e-hastī hai siyāh
ik thake-hāre musāfir ke qadam TuuT ga.e
aable paañv ke manzil ke qarīñ phuuT ga.e
jis tarah dāman-e-shab meñ koī taarā TuuTā
gardish-e-vaqt ke hāthoñ se bhī sāġhar chhūTā
phuul murjhā ga.e shabnam ne bahā.e aañsū
chhīn lī vaqt ne ik phuul se us kī ḳhushbū
gul huī sham.a dhuāñ uTThā siyāhī chhā.ī
zindagānī kī jahāñ-tāb kiran kajlā.ī
aap jab hañstī haiñ hañstā rahā gulshan merā
aap rotī haiñ to bhīgā kiyā dāman merā
maiñ bhī mānūs huuñ kuchh aise hī dard-o-ġham se
merā dāman bhī to vābasta hai chashm-e-nam se
palkeñ jab bhīgīñ to koī bhī na aañsū poñchhā
koī dāman bhī na thā koī bhī āñchal na baḌhā
aaj mil jā.egā shāyad yahāñ ashkoñ kā sila
hadiya-e-ashk maiñ laayā huuñ ba-nām-e-pursa
ek muddat se jo KHadsha tha wahi baat hui
Dhal gai sham sahar ruTh gai raat hui
aaj ki subh andheron ko bhi lai hamrah
maut ke zahr se peshani-e-hasti hai siyah
ek thake-haare musafir ke qadam TuT gae
aable panw ke manzil ke qarin phuT gae
jis tarah daman-e-shab mein koi tara TuTa
gardish-e-waqt ke hathon se bhi saghar chhuTa
phul murjha gae shabnam ne bahae aansu
chhin li waqt ne ek phul se us ki KHushbu
gul hui shama dhuan uTTha siyahi chhai
zindagani ki jahan-tab kiran kajlai
aap jab hansti hain hansta raha gulshan mera
aap roti hain to bhiga kiya daman mera
main bhi manus hun kuchh aise hi dard-o-gham se
mera daman bhi to wabasta hai chashm-e-nam se
palken jab bhigin to koi bhi na aansu ponchha
koi daman bhi na tha koi bhi aanchal na baDha
aaj mil jaega shayad yahan ashkon ka sila
hadiya-e-ashk main laya hun ba-nam-e-pursa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.