pura chand nikalta hai to bheDiya aksar rota hai
Interesting Fact
In this Nazm are hidden such idioms of Urdu language in which the names of animals are used - it is not necessary that every couplet has a proverb - there are couplets in which there is no proverb - and there couplets which have a proverb but not related to animals.
puurā chāñd nikaltā hai to bheḌiyā aksar rotā hai
raat ko kuttā bhauñ bhauñ kartā din ko ullū sotā hai
sher kī ḳhāla billī us ko kyā kyā sabaq paḌhātī hai
khambā nochne lagtī hai bechārī jab ḳhisyātī hai
bhaiñs ke kaan se kaalā kavvā juueñ chugtā jaatā hai
bolī bhaiñs ki ''ai kavve kyuuñ mere kaan tū khātā hai''
uuñT kī kal sīdhī karne ko aa.e the kutte raajā
bolā uuñT ki ''pahle tū apnī dum sīdhī kar jā jaa''
jugnū kī dum se chamgādaḌ lene thoḌī aag gayā
gīdaḌ kī bhabhkī se Dar kar bāġhaḌ billā bhaag gayā
chamgādaḌ kī biivī darvāze se ulTī laTak ga.ī
puurā hāthī niklā lekin dum hāthī kī aTak ga.ī
bandar baañT rahā thā phaliyāñ bolā gidh ho ke barham
''ye achchhī taqsīm hai terī ḳhud le ziyāda ham ko kam''
hāthī ke dāñtoñ ko chūhe ne dekhā to ye bolā
ye to daañt dikhāne ke haiñ khāne vaale daañt dikhā
buDDhā totā paḌhne kī dhun meñ ik din schōl gayā
kavvā hañs kī chaal chalā to apnī chaal hī bhuul gayā
saañp ke badle bhaiñs ke aage chuhiyā biin bajā.egī
ab ke iid pe būḌhī ghoḌī laal lagām lagā.egī
mor kise jañgal meñ jā kar apnā naach dikhātā hai
gīdaḌ kī shāmat aa.e to shahr kī jānib jaatā hai
dumba zarrāfe kī gardan nāpne ko tayyār huā
murġhābī ke anDe khā kar saañp bahut bīmār huā
ban-mānus kī naak pe makkhī baiThī lekin phisal ga.ī
bhālū ko aatā dekhā to shahd kī makkhī sambhal ga.ī
aadhā tītar khāyā lekin bhūkā rah gayā babbar sher
shernī us ke vāste le kar aa.ī aadhā aur baTer
ullū ko har shāḳh pe baiThā dekh ke TaTTū ḳhvār huā
meñDak kī Tar-Tar se dariyā.ī ghoḌā bezār huā
allāh-jī kī gaa.e paḌosan ke ghar khāne phalī ga.ī
puure nau sau chūhe khā kar billī haj ko chalī ga.ī
pura chand nikalta hai to bheDiya aksar rota hai
raat ko kutta bhaun bhaun karta din ko ullu sota hai
sher ki KHala billi us ko kya kya sabaq paDhati hai
khamba nochne lagti hai bechaari jab KHisyati hai
bhains ke kan se kala kawwa juen chugta jata hai
boli bhains ki ai kawwe kyun mere kan tu khata hai
unT ki kal sidhi karne ko aae the kutte raja
bola unT ki pahle tu apni dum sidhi kar ja ja
jugnu ki dum se chamgadaD lene thoDi aag gaya
gidaD ki bhabhki se Dar kar baghaD billa bhag gaya
chamgadaD ki biwi darwaze se ulTi laTak gai
pura hathi nikla lekin dum hathi ki aTak gai
bandar banT raha tha phaliyan bola gidh ho ke barham
ye achchhi taqsim hai teri KHud le ziyaada hum ko kam
hathi ke danton ko chuhe ne dekha to ye bola
ye to dant dikhane ke hain khane wale dant dikha
buDDha tota paDhne ki dhun mein ek din school gaya
kawwa hans ki chaal chala to apni chaal hi bhul gaya
sanp ke badle bhains ke aage chuhiya bin bajaegi
ab ke id pe buDhi ghoDi lal lagam lagaegi
mor kise jangal mein ja kar apna nach dikhata hai
gidaD ki shamat aae to shahr ki jaanib jata hai
dumba zarrafe ki gardan napne ko tayyar hua
murghabi ke anDe kha kar sanp bahut bimar hua
ban-manus ki nak pe makkhi baiThi lekin phisal gai
bhaalu ko aata dekha to shahd ki makkhi sambhal gai
aadha titar khaya lekin bhuka rah gaya babbar sher
sherni us ke waste le kar aai aadha aur baTer
ullu ko har shaKH pe baiTha dekh ke TaTTu KHwar hua
meinDak ki Tar-Tar se dariyai ghoDa bezar hua
allah-ji ki gae paDosan ke ghar khane phali gai
pure nau sau chuhe kha kar billi haj ko chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.