pura din aur aadha main
vahīd ahmad ke sahar meñ likhī ga.ī ik nazm
aañkh khulī to
silvaT silvaT bistar se
ḳhud ko chun chun ke
kapḌoñ kī gaThḌī meñ bāñdhā
pairoñ kī baisākhī lī aur bāhar nikle
daftar ke darvāze par
ik kāġhaz kaalā karne ke sikke lene ko daftar pahuñche
ilm kī raddī aadhī bechī
aadhī baañT ke logoñ par ehsān dharā
aur apnā aap uThā kar nikle
shaam huī thī
qahva-ḳhāne meñ pahuñche to
kuchh zyāda chhoTe sar vaale bahas rahe the
aadmī aaj adhūrā kyoñ hai
un par apne puure sar kā ro.ab jamāyā
chabā chabā ke lafz thūkte raat utārī
mahfil jab barḳhāst huī to
agle din ke baare sochā
ugāldān ko ulTā palTā
lafz uThā.e
jhaaḌ poñchh ke phir se nigale
Thokar Thokar rasta chalte ghar tak aa.e
botal kholī
apne tan kī baaḌ phalāñgī
tere naam ik nazm likhī to
har misre meñ apnī zaat ke TukḌe bāñdhe
tere hijr kī chādar meñ hameñ apne TukḌe chunte dekhtā chāñd kabhī kā Duub gayā
wahid ahmad ke sahar mein likhi gai ek nazm
aankh khuli to
silwaT silwaT bistar se
KHud ko chun chun ke
kapDon ki gaThDi mein bandha
pairon ki baisakhi li aur bahar nikle
daftar ke darwaze par
ek kaghaz kala karne ke sikke lene ko daftar pahunche
ilm ki raddi aadhi bechi
aadhi banT ke logon par ehsan dhara
aur apna aap uTha kar nikle
sham hui thi
qahwa-KHane mein pahunche to
kuchh zyaada chhoTe sar wale bahas rahe the
aadmi aaj adhura kyon hai
un par apne pure sar ka roab jamaya
chaba chaba ke lafz thukte raat utari
mahfil jab barKHast hui to
agle din ke bare socha
ugaldan ko ulTa palTa
lafz uThae
jhaD ponchh ke phir se nigale
Thokar Thokar rasta chalte ghar tak aae
botal kholi
apne tan ki baD phalangi
tere nam ek nazm likhi to
har misre mein apni zat ke TukDe bandhe
tere hijr ki chadar mein hamein apne TukDe chunte dekhta chand kabhi ka Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.