chāñd kī raat kā jaadū
shaam Dhale ik aahaT dil meñ hotī hai!
dhīre dhīre shaam kā saaya aur bhī gahrā hotā hai
shaam se raat kā milnā
vasl kī ḳhvāhish aur baḌhā detā hai
puure chāñd kī raat kā jaadū joban par aa jaatā hai
jhiil kā raushan paanī chāñd kā aks uchhāle phirtā hai
ek nasha sā dil meñ jaise qatra qatra girtā hai
husn kañval ke phuul sā khilne lagtā hai
ik mānūs sī ḳhushbū tan ko chhūtī hai
aise meñ phir mast havā ke jhoñke
chheḌne lagte haiñ
aur maiñ pyaar ke pāgal-pan meñ
sāvan-rut kī badlī ban kar
duur falak par
us kā haath pakaḌ kar
uḌne lagtī hūñ!!
chand ki raat ka jadu
sham Dhale ek aahaT dil mein hoti hai!
dhire dhire sham ka saya aur bhi gahra hota hai
sham se raat ka milna
wasl ki KHwahish aur baDha deta hai
pure chand ki raat ka jadu joban par aa jata hai
jhil ka raushan pani chand ka aks uchhaale phirta hai
ek nasha sa dil mein jaise qatra qatra girta hai
husn kanwal ke phul sa khilne lagta hai
ek manus si KHushbu tan ko chhuti hai
aise mein phir mast hawa ke jhonke
chheDne lagte hain
aur main pyar ke pagal-pan mein
sawan-rut ki badli ban kar
dur falak par
us ka hath pakaD kar
uDne lagti hun!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.