purwanchal
mashriqī UP curfew meñ
ye dhartī kitnī sundar hai
ye sundar aur dukhī dhartī
ye dhānī āñchal pūrab kā
tez raftār rail ke saath
havā meñ uḌtā jaatā hai
paḌā jhil-mil lahrātā hai
duur tak hare khet khaliyān
ye dhartī aurat koī kisān
sambhāle sar par bhārī bojh
chalī hai khet se ghar kī or
vahī ghar jis kī chhat par aaj
krodh kā gidh mañDrātā hai
jhapaT kar par phailātā hai
os se giilā hai sabza
ki giile haiñ mere do nain
paḌe maaTī patthar ke Dher
vahī masjid mandir ke pher
tane logoñ ke tevar dekh
isī dhartī par soyā puut
jaag kar tumheñ manātā hai
'kabīrā' kuchh samjhātā hai
jahāñ hoñ nafrat ke ghamsān
nahīñ rahte us jā bhagvān
nahīñ kartā hai nazar rahīm
nahīñ karte haiñ pherā raam
tumhārī minnat kartā hai
ḳhaak par siis jhukātā hai
'Kabīrā' kuchh samjhātā hai
isī sarjū nadiyā ke paar
kamal-kunjoñ par jahāñ bahār
khaḌe haiñ hare baañs ke jhunD
gaḌā hai gautam kā sandesh
khile haiñ jahāñ basantī phuul
khudā hai patthar par updesh
aḌe jab do firqoñ kī aan
tule hoñ de dene par jaan
hai aslī jiit kī bas ye riit
ki donoñ jaa.eñ barābar jiit
natīja-ḳhez yahī anjām
na samjho varna jañg tamām
huī jis yudh meñ ik kī haar
vo hotā rahegā bāram-bār
na donoñ jab tak miT jaa.eñ
na donoñ jaa.eñ barābar haar
yahī Takrāo kā hai qānūn
yahī gautam kā uttam gyaan
ki jis ke aage ek jahān
adab se siis jhukātā hai
tumhī to vāris the is ke
tumheñ kyuuñ bisrā jaatā hai
saje rahnumā ke sar dastār
paḌeñ pāñDav ke gale meñ haar
jale haiñ jin ke chūlhe roz
bhare haiñ jin ke sadā bhanDār
are tū mūrakh kyuuñ har baar
jaan kar dhokā khātā hai
lahū meñ aap nahātā hai
mashriqi UP curfew mein
ye dharti kitni sundar hai
ye sundar aur dukhi dharti
ye dhani aanchal purab ka
tez raftar rail ke sath
hawa mein uDta jata hai
paDa jhil-mil lahraata hai
dur tak hare khet khaliyan
ye dharti aurat koi kisan
sambhaale sar par bhaari bojh
chali hai khet se ghar ki or
wahi ghar jis ki chhat par aaj
krodh ka gidh manDraata hai
jhapaT kar par phailata hai
os se gila hai sabza
ki gile hain mere do nain
paDe maTi patthar ke Dher
wahi masjid mandir ke pher
tane logon ke tewar dekh
isi dharti par soya put
jag kar tumhein manata hai
'kabira' kuchh samjhata hai
jahan hon nafrat ke ghamsan
nahin rahte us ja bhagwan
nahin karta hai nazar rahim
nahin karte hain phera ram
tumhaari minnat karta hai
KHak par sis jhukata hai
'Kabira' kuchh samjhata hai
isi sarju nadiya ke par
kamal-kunjon par jahan bahaar
khaDe hain hare bans ke jhunD
gaDa hai gautam ka sandesh
khile hain jahan basanti phul
khuda hai patthar par updesh
aDe jab do firqon ki aan
tule hon de dene par jaan
hai asli jit ki bas ye rit
ki donon jaen barabar jit
natija-KHez yahi anjam
na samjho warna jang tamam
hui jis yudh mein ek ki haar
wo hota rahega baram-bar
na donon jab tak miT jaen
na donon jaen barabar haar
yahi Takrao ka hai qanun
yahi gautam ka uttam gyan
ki jis ke aage ek jahan
adab se sis jhukata hai
tumhi to waris the is ke
tumhein kyun bisra jata hai
saje rahnuma ke sar dastar
paDen panDaw ke gale mein haar
jale hain jin ke chulhe roz
bhare hain jin ke sada bhanDar
are tu murakh kyun har bar
jaan kar dhoka khata hai
lahu mein aap nahata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.