pyar ke tohfe
Interesting Fact
20 November 1984- Paris
na jaane kyā milā kyā hasrateñ baaqī rahīñ dil meñ
abhī duniyā se kyā kuchh aur lenā hai
mujhe to ye ḳhabar hai
ye dahaktī aag
sab kuchh ḳhaak kar degī
faqat merā nishāñ
uThtā dhuāñ
chāroñ-taraf rishtoñ pe mailī raakh chhiḌkātā
ye tezābī
rag-o-pai meñ panaptā zahar
maġhrūrāna be-zārī
nigah-dārī kī dīvāreñ khaḌī kartī
ye sab us aag meñ kyuuñ jal nahīñ jaate
abhī duniyā se kyā kuchh māñgnā hai
kyā jhapaTnā hai
maiñ saa.il huuñ luTerā huuñ
huī hai masḳh yuuñ sūrat kī pahchānī nahīñ jaatī
maiñ kab tak jhoñktā jā.ūñgā ye tanūr
lahkī aag se kab nuur phūTegā
koī nannhī kiran dhīmī sī lau
mujh se kaheñ to chāñdnī phaile
maiñ kab duniyā ko lauTā.uñgā us ke pyaar ke tohfe
na jaane kya mila kya hasraten baqi rahin dil mein
abhi duniya se kya kuchh aur lena hai
mujhe to ye KHabar hai
ye dahakti aag
sab kuchh KHak kar degi
faqat mera nishan
uThta dhuan
chaaron-taraf rishton pe maili rakh chhiDkata
ye tezabi
rag-o-pai mein panapta zahar
maghrurana be-zari
nigah-dari ki diwaren khaDi karti
ye sab us aag mein kyun jal nahin jate
abhi duniya se kya kuchh mangna hai
kya jhapaTna hai
main sail hun luTera hun
hui hai masKH yun surat ki pahchani nahin jati
main kab tak jhonkta jaunga ye tanur
lahki aag se kab nur phuTega
koi nannhi kiran dhimi si lau
mujh se kahen to chandni phaile
main kab duniya ko lauTaunga us ke pyar ke tohfe
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 111)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.