pyari man
pyārī maañ
ik baat batā
jis shahar meñ ab tū jā ke basī hai us kā mausam kaisā hai
kyā us bastī meñ din hotā hai
vaañ pe raat utartī hai
kyā qabr kī tanhā.ī meñ leTā vaqt samay kuchh kahtā hai
yā din aur raat kī qaid se aarī ant zamāna bahtā hai
kyā sūraj gole kī chand kirneñ andar jā ke girtī haiñ
kyā chhat ke niile ambar uupar chāñd sitāra rahtā hai
kyā jugnū bāteñ karte haiñ
kyā titlī milne aatī hai
kyā qabr sirhāne peḌ ke nīche
bulbul naġhme gaatī hai
kyā lahad kī daa.eñ jānib se jannat kī havā.eñ aatī haiñ
kyā raushan khiḌkī ke raste tibtum kī sadā.eñ aatī haiñ
kyā ahl-e-jannat mil-jul ke aapas meñ bāteñ karte haiñ
kyā ibrāhīm kī raushan peshānī pe nuur utarte haiñ
kyā 'yahyā'-bin-'zakariyā' ke zaḳhmoñ se phuul bikharte haiñ
'yūsuf' kī savārī aatī hai
yāqūb vahāñ kyā karte haiñ
khiḌkī ke raste chupke se
beTe se milne jaatī hai
bāhoñ meñ use le ke apnī
tū aksar lorī gaatī hai
yā us ko lagā kar siine se
jab haule se muskātī hai
tab tujh ko mirī yaad aatī hai
pyari man
ek baat bata
jis shahar mein ab tu ja ke basi hai us ka mausam kaisa hai
kya us basti mein din hota hai
wan pe raat utarti hai
kya qabr ki tanhai mein leTa waqt samay kuchh kahta hai
ya din aur raat ki qaid se aari ant zamana bahta hai
kya suraj gole ki chand kirnen andar ja ke girti hain
kya chhat ke nile ambar upar chand sitara rahta hai
kya jugnu baaten karte hain
kya titli milne aati hai
kya qabr sirhane peD ke niche
bulbul naghme gati hai
kya lahad ki daen jaanib se jannat ki hawaen aati hain
kya raushan khiDki ke raste tibtum ki sadaen aati hain
kya ahl-e-jannat mil-jul ke aapas mein baaten karte hain
kya ibrahim ki raushan peshani pe nur utarte hain
kya 'yahya'-bin-'zakariya' ke zaKHmon se phul bikharte hain
'yusuf' ki sawari aati hai
yaqub wahan kya karte hain
khiDki ke raste chupke se
beTe se milne jati hai
bahon mein use le ke apni
tu aksar lori gati hai
ya us ko laga kar sine se
jab haule se muskati hai
tab tujh ko meri yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.