pyas daera banati hai
hijr kī ok se
dard piite hue
pyaas baḌh jaatī hai
haule jaḌoñ tak jaatī hai
har taraf apne ḳheme lagā letī hai
ruuh meñ jism meñ
zehn meñ soch meñ
niiñd meñ ḳhvāb meñ
ḳhuun meñ aañkh meñ
ruuh ke sāhiloñ
jism ke sab jazīroñ pe bikhrī huī
zehn kī ketiyoñ
soch ke gulistānoñ meñ ugtī huī
niiñd ke dosh par
ḳhvāb ke pañkh phailā.e uḌtī huī
ḳhuun ke surḳhiyoñ meñ humaktī huī
aañkh ke āsmāñ par chamaktī huī
pyaas Dhal jaatī hai
hijr kī ok meñ
hijr ki ok se
dard pite hue
pyas baDh jati hai
haule jaDon tak jati hai
har taraf apne KHeme laga leti hai
ruh mein jism mein
zehn mein soch mein
nind mein KHwab mein
KHun mein aankh mein
ruh ke sahilon
jism ke sab jaziron pe bikhri hui
zehn ki ketiyon
soch ke gulistanon mein ugti hui
nind ke dosh par
KHwab ke pankh phailae uDti hui
KHun ke surKHiyon mein humakti hui
aankh ke aasman par chamakti hui
pyas Dhal jati hai
hijr ki ok mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.