pyas
terī hañstī huī āñkhoñ meñ
rañg bahār ke raqsāñ dekhe
terī zulfoñ kī lahroñ meñ
ghor añdhere hairāñ dekhe
har mehrāb meñ tere badan kī
sau sau diip farozāñ dekhe
tū jo hañse to kaun-o-makāñ meñ
saat suroñ kī barkhā barse
aur is barkhā meñ dil merā
jitnā bhīge utnā tarse
teri hansti hui aankhon mein
rang bahaar ke raqsan dekhe
teri zulfon ki lahron mein
ghor andhere hairan dekhe
har mehrab mein tere badan ki
sau sau dip farozan dekhe
tu jo hanse to kaun-o-makan mein
sat suron ki barkha barse
aur is barkha mein dil mera
jitna bhige utna tarse
- Book : Tabani (Pg. 41)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.