pyas
zamāne meñ hamesha tishnagī hī kaam aatī hai
isī se ābrū-e-mai-kada kī aab hai qaa.em
isī ke dam se sarshārī-o-mai-ḳhvārī rahe daa.im
isī se rind kī rindī bhī rangīñ jaam paatī hai
'ibādat rang meñ aa.e sadā tishna-labī hī se
isī ke dam se husn-e-mā'rifat bhī hotā hai hāsil
isī se faiz paate haiñ zamāne ke sabhī vāsil
isī se faiz paate haiñ zamāne ke sabhī vāsil
mileñ mash.hūd aur shāhid hamesha tishnagī hī se
isī kī kaifiyat se dil pe aatā hai nayā joban
isī ke dam se rangīñ titliyāñ phūloñ pe martī haiñ
isī par husn vāloñ kī adā.eñ raqs kartī haiñ
isī se 'ishq vāloñ ke kaTe haiñ sab kaḌe bandhan
bujhā dī pyaas hī tū ne tū kaisā hai mirā saaqī
na marne kī tamanna hai na jiine kī havas baaqī
zamane mein hamesha tishnagi hi kaam aati hai
isi se aabru-e-mai-kada ki aab hai qaem
isi ke dam se sarshaari-o-mai-KHwari rahe daim
isi se rind ki rindi bhi rangin jam pati hai
'ibaadat rang mein aae sada tishna-labi hi se
isi ke dam se husn-e-ma'rifat bhi hota hai hasil
isi se faiz pate hain zamane ke sabhi wasil
isi se faiz pate hain zamane ke sabhi wasil
milen mashhud aur shahid hamesha tishnagi hi se
isi ki kaifiyat se dil pe aata hai naya joban
isi ke dam se rangin titliyan phulon pe marti hain
isi par husn walon ki adaen raqs karti hain
isi se 'ishq walon ke kaTe hain sab kaDe bandhan
bujha di pyas hi tu ne tu kaisa hai mera saqi
na marne ki tamanna hai na jine ki hawas baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.