pyasa kawwa
garmī kā jo mausam aayā
jalne lagī peḌoñ kī chhāyā
suukh ga.ī thī Daalī Daalī
aur pattoñ se bhī thī ḳhālī
nañge peḌ pe baiThā kavvā
haañp rahā thā jo pyāsā thā
paanī ko vo DhūñDhtā niklā
ghar ke ik chhajje par baiThā
har sū kaal thā paanī kā jo
gaañv meñ bhī thā sūkhā pyāro
āñgan meñ thī ek surāhī
us meñ thā thoḌā sā paanī
kavvā surāhī tak jā pahuñchā
lekin paanī tah meñ hī thā
choñch ko apnī andar Daalā
paanī tak vo pahuñch na paayā
ho gayā dekh ke ye ḳhush kavvā
baazū Dher thā kañkariyoñ kā
laayā ik ik ko ye chun kar
Dāltā jaatā thā yuuñ kañkar
us meñ Daale itne kañkar
paanī ubhar kar aayā uupar
phir kavve ne pyaas bujhā.ī
us kī jaan meñ jaan ab aa.ī
uḌ gayā phurtī se ab kavvā
chunñe lagā phir daana dunkā
aql kā kholo tum darvāza
hal mushkil kā ḳhud niklegā
garmi ka jo mausam aaya
jalne lagi peDon ki chhaya
sukh gai thi Dali Dali
aur patton se bhi thi KHali
nange peD pe baiTha kawwa
hanp raha tha jo pyasa tha
pani ko wo DhunDhta nikla
ghar ke ek chhajje par baiTha
har su kal tha pani ka jo
ganw mein bhi tha sukha pyaro
aangan mein thi ek surahi
us mein tha thoDa sa pani
kawwa surahi tak ja pahuncha
lekin pani tah mein hi tha
chonch ko apni andar Dala
pani tak wo pahunch na paya
ho gaya dekh ke ye KHush kawwa
bazu Dher tha kankariyon ka
laya ek ek ko ye chun kar
Dalta jata tha yun kankar
us mein Dale itne kankar
pani ubhar kar aaya upar
phir kawwe ne pyas bujhai
us ki jaan mein jaan ab aai
uD gaya phurti se ab kawwa
chunne laga phir dana dunka
aql ka kholo tum darwaza
hal mushkil ka KHud niklega
- Book : Gagar me.n Sagar (Pg. 36)
- Author : Hafiz Karnatki
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.