pyasa unT
jis vaqt mahār uThā.ī thī merā uuñT bhī pyāsā thā
mashkīze meñ ḳhuun bharā thā aañkh meñ sahrā phailā thā
ḳhushk babūloñ kī shāḳhoñ par saañp ne halqe Daale the
jin kī surḳh zabānoñ se pattoñ ne zahr kashīd kiyā
kaalī gardan piilī āñkhoñ vaalī ban kī ek chuḌail
niile panjoñ vaale nāḳhun jin ke andar chiknā mail
ek kaTorā ḳhushk lahū kā us meñ lākhoñ reñgte bichchhū
ham donoñ ne tez kiye the uupar nīche vaale daañt
ḳhushk lahū ko kaaT ke khāyā aur piyā phir mashkīza
us ke ba.ad achānak dekhā sahrā ḳhuun kā dariyā thā
maiñ aur Dāyan saañp aur bichchhū sab kuchh us meñ Duub rahe the
lekin uuñT vo pyāsā merā ham se Dar kar bhaag gayā
jis waqt mahaar uThai thi mera unT bhi pyasa tha
mashkize mein KHun bhara tha aankh mein sahra phaila tha
KHushk babulon ki shaKHon par sanp ne halqe Dale the
jin ki surKH zabanon se patton ne zahr kashid kiya
kali gardan pili aankhon wali ban ki ek chuDail
nile panjon wale naKHun jin ke andar chikna mail
ek kaTora KHushk lahu ka us mein lakhon rengte bichchhu
hum donon ne tez kiye the upar niche wale dant
KHushk lahu ko kaT ke khaya aur piya phir mashkiza
us ke baad achanak dekha sahra KHun ka dariya tha
main aur Dayan sanp aur bichchhu sab kuchh us mein Dub rahe the
lekin unT wo pyasa mera hum se Dar kar bhag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.