qaid-e-azam
aadam kī tārīḳh ke siine meñ Duube haiñ
kitne sūraj kitne chāñd
kaise kaise rang the miTTī se phūTe
mauj havā ke bante aur bigaḌte rastoñ meñ Thahre
aur ḳhaak hue
niile aur athāh samundar ke hoñToñ kī pyaas bane
aane vaale din kī āñkhoñ meñ lahrātī aas bane
kaise kaise rang the jo miTTī se chamke
aur chamak kar paḌ ga.e maañd
kuchh sūraj aise phir bhī
apnī apnī shaam meñ jo is dasht-e-ufuq kā rizq hue haiñ
lekin ab tak raushan haiñ gahnā.e nahīñ
phuul haiñ jin ko chhūne vaalī sabz havā.eñ ḳhaak huiiñ
lekin ab tak taaza haiñ kumhlā.e nahīñ
aisā hī ik sūraj thā vo ādam-zāda
TuuTī īñToñ ke malbe se jaada jaada
TukḌā TukḌā yakjā kar ke
ek imārat kī buniyādeñ Daal rahā thā
saat samundar jaise dil meñ
un ke ġham ko paal rahā thā
jin ke kaale tañg gharoñ meñ koī sūraj chāñd nahīñ thā
phūloñ kī mahkār nahīñ thī bādal kā imkān nahīñ thā
sub.h kā naam nishān nahīñ thā
niiñd bharī āñkhoñ ke lawn meñ
vo ḳhud sūraj ban kar ubhrā
Dhaltī shab meñ puure chāñd kī sūrat niklā
sub.h ke pahle darvāze par dastak ban kar guuñj uThā
aaj maiñ jis manzil par khaḌā huuñ
us par pīchhe muḌ kar dekhūñ
to ik raushan moḌ pe ab bhī
vo hāthoñ meñ
aane vaale din kī jaltī sham.a thāme
merī jānib dekh rahā hai
jaane kyā vo soch rahā hai
aadam ki tariKH ke sine mein Dube hain
kitne suraj kitne chand
kaise kaise rang the miTTi se phuTe
mauj hawa ke bante aur bigaDte raston mein Thahre
aur KHak hue
nile aur athah samundar ke honTon ki pyas bane
aane wale din ki aankhon mein lahraati aas bane
kaise kaise rang the jo miTTi se chamke
aur chamak kar paD gae mand
kuchh suraj aise phir bhi
apni apni sham mein jo is dasht-e-ufuq ka rizq hue hain
lekin ab tak raushan hain gahnae nahin
phul hain jin ko chhune wali sabz hawaen KHak huin
lekin ab tak taza hain kumhlae nahin
aisa hi ek suraj tha wo aadam-zada
TuTi inTon ke malbe se jada jada
TukDa TukDa yakja kar ke
ek imarat ki buniyaaden Dal raha tha
sat samundar jaise dil mein
un ke gham ko pal raha tha
jin ke kale tang gharon mein koi suraj chand nahin tha
phulon ki mahkar nahin thi baadal ka imkan nahin tha
subh ka nam nishan nahin tha
nind bhari aankhon ke lawn mein
wo KHud suraj ban kar ubhra
Dhalti shab mein pure chand ki surat nikla
subh ke pahle darwaze par dastak ban kar gunj uTha
aaj main jis manzil par khaDa hun
us par pichhe muD kar dekhun
to ek raushan moD pe ab bhi
wo hathon mein
aane wale din ki jalti shama thame
meri jaanib dekh raha hai
jaane kya wo soch raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.