qalin
gaDariye ke sur bāñsurī meñ
hiran kī labālab bharī chaukḌī
aañkh meñ
aur gardan meñ laqqe kabūtar kī dum rah ga.ī
pahle bajrī bichā.ī ga.ī
aur paanī kā chhiḌkāv karte hue
farsh kā siina ragḌā gayā
aa.ine kī tarah
farsh kā siina chamkā
to rangīn dhāgoñ bharā ek qālīn
us par bichhāyā gayā
ek chhoTe se kamre meñ
itnā baḌā gahre sāyoñ bharā
thoḌā be-āb
thoḌā harā ek jangal basāyā gayā
maiñ daraḳhtoñ pe phal toḌne ke liye
ik tane par chaḌhā
ek mantar paḌhā
taaza phal toḌtā
phal ko maiñ dāñtoñ se toḌtā
nīche aayā
chamaktī huī naddī se āb-e-sīmīñ piyā
yak-ba-yak jism Dhīlā paḌā
aur maiñ ḳhud se laḌā
maiñ ne bhālā sañbhālā
sañbhal kar har ik aañt ko khīñch kar
maiñ ne bāhar nikālā
zarā narm qālīn apnī jagah se hilā
dekhte dekhte
narm qālīn ke sher meñ jaañ paḌī
sher ne ek bharpūr añgḌā.ī lī
niiñd se thoḌā jaagā
bharī mastī meñ jabḌā kholā
mirā dil dhaḌakne lagā
sher āḳhir dahāḌā
gaDariye ke sur bāñsurī meñ
hiran kī labālab bharī chaukḌī aañkh meñ
aur gardan meñ laqqe kabūtar kī dum rah ga.ī
gaDariye ke sur bansuri mein
hiran ki labaalab bhari chaukDi
aankh mein
aur gardan mein laqqe kabutar ki dum rah gai
pahle bajri bichai gai
aur pani ka chhiDkaw karte hue
farsh ka sina ragDa gaya
aaine ki tarah
farsh ka sina chamka
to rangin dhagon bhara ek qalin
us par bichhaya gaya
ek chhoTe se kamre mein
itna baDa gahre sayon bhara
thoDa be-ab
thoDa hara ek jangal basaya gaya
main daraKHton pe phal toDne ke liye
ek tane par chaDha
ek mantar paDha
taza phal toDta
phal ko main danton se toDta
niche aaya
chamakti hui naddi se aab-e-simin piya
yak-ba-yak jism Dhila paDa
aur main KHud se laDa
main ne bhaala sanbhaala
sanbhal kar har ek aant ko khinch kar
main ne bahar nikala
zara narm qalin apni jagah se hila
dekhte dekhte
narm qalin ke sher mein jaan paDi
sher ne ek bharpur angDai li
nind se thoDa jaga
bhari masti mein jabDa khola
mera dil dhaDakne laga
sher aaKHir dahaDa
gaDariye ke sur bansuri mein
hiran ki labaalab bhari chaukDi aankh mein
aur gardan mein laqqe kabutar ki dum rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.