qanun-e-qudrat
galiyoñ kī sham.eñ bujh ga.iiñ aur shahr suunā ho gayā
bijlī kā khambā thaam kar bāñkā sipāhī so gayā
tārīkiyoñ kī deviyāñ karne lagīñ sargoshiyāñ
ik dhīmī dhīmī taan meñ gaane lagīñ ḳhāmoshiyāñ
mashriq ke parbat se vare ubhrīñ ghaTā.eñ yak-ba-yak
añgḌā.iyāñ lene lagīñ be-ḳhud havā.eñ yak-ba-yak
taare nigaltī badliyāñ chāroñ taraf chhāne lagīñ
chham-chham phuvāroñ kī jhaḌī dhartī pe barsāne lagīñ
kutte achānak chauñk kar bhoñkeñ dubak kar so ga.e
be-ras chachoḌī haDDiyoñ kī lazzatoñ meñ kho ga.e
maa.eñ lapaktī haiñ kahīñ bachche bilakte haiñ kahīñ
aur khaaT lene ke liye būḌhe uchakte haiñ kahīñ
ik sarsarāhaT sī uThī lahrā.ī tham kar rah ga.ī
har chiiz ne āñkheñ malīñ har chiiz jam kar rah ga.ī
phir gungunātī zulmatoñ kā sehr har-sū chhā gayā
bādal kahīñ gum hoga.e tāroñ pe jauban aa gayā
qudarat ke sab chhoTe baḌe qānūn haiñ yaksāñ magar
parde paḌe haiñ jā-ba-jā chhantī nahīñ jin se nazar
insān kā ma.asūm dil tārīk suunā shahr hai
jis ke tale ehsās kī chiñgāriyoñ kī lahar hai
jab dekhtā hai vo kahīñ badmast panghaT vāliyāñ
gāloñ ko jin ke chūmtī haiñ patlī patlī bāliyāñ
zulfeñ ghaTāoñ kī tarah āñkheñ sitāroñ kī tarah
chalnā havāoñ kī tarah rañgat sharāroñ kī tarah
lahñge kī lahroñ ke tale makkhan se paañv raqs meñ
pagDanDiyoñ ke us taraf gāgar kī chhāñv raqs meñ
siine chhalakte mai-kade aur hoñT paimānoñ ke lab
Taḳhnoñ pe bajtī jhāñjhneñ hañsnā-hañsānā be-sabab
ye dekh kar añgḌā.iyāñ letā hai dil insān kā
aur us kī har dhaḌkan pe hotā hai gumāñ tūfān kā
galiyoñ meñ chhup jaatī haiñ jab ye chaltī-phirtī bijliyāñ
hotā hai taarī ruuh par sunsān rātoñ kā samāñ
galiyon ki shamen bujh gain aur shahr suna ho gaya
bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya
tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan
ek dhimi dhimi tan mein gane lagin KHamoshiyan
mashriq ke parbat se ware ubhrin ghaTaen yak-ba-yak
angDaiyan lene lagin be-KHud hawaen yak-ba-yak
tare nigalti badliyan chaaron taraf chhane lagin
chham-chham phuwaron ki jhaDi dharti pe barsane lagin
kutte achanak chaunk kar bhonken dubak kar so gae
be-ras chachoDi haDDiyon ki lazzaton mein kho gae
maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin
aur khaT lene ke liye buDhe uchakte hain kahin
ek sarsarahaT si uThi lahrai tham kar rah gai
har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai
phir gungunati zulmaton ka sehr har-su chha gaya
baadal kahin gum hogae taron pe jauban aa gaya
qudarat ke sab chhoTe baDe qanun hain yaksan magar
parde paDe hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar
insan ka masum dil tarik suna shahr hai
jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahar hai
jab dekhta hai wo kahin badmast panghaT waliyan
galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan
zulfen ghaTaon ki tarah aankhen sitaron ki tarah
chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah
lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein
pagDanDiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein
sine chhalakte mai-kade aur honT paimanon ke lab
TaKHnon pe bajti jhanjhnen hansna-hansana be-sabab
ye dekh kar angDaiyan leta hai dil insan ka
aur us ki har dhaDkan pe hota hai guman tufan ka
galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti-phirti bijliyan
hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.