qatil-e-be-chehra
sharāb pī ke ye ehsās mujh ko hotā hai
ki jaise maiñ hī ḳhudā huuñ
ḳhudā kā beTā huuñ
ḳhudā.ī jis ko chaḌhātī rahī hai suulī par
sharāb pī ke ye ehsās mujh ko hotā hai
ki jaise arsa-e-paikār-e-haqq-o-bātil meñ
hamesha maiñ hī jo maz.har rahā huuñ nekī kā
shikast khātā rahā
piyā hai zahr bhī maiñ ne kaTāyā hai sar bhī
bujhī na pyaas magar ḳhanjar-o-sināñ kī abhī
na jaane kitnī dafa aur qatl honā hai
mujhe ba-pās-e-digar
sharāb pī ke ye ehsās mujh ko hotā hai
ki jaise maiñ hī zamāne meñ ek qātil huuñ
aur aisā qātil-e-be-chehra jis ko sadiyoñ se
zamāna DhūñD rahā hai
magar nahīñ miltā
sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi KHuda hun
KHuda ka beTa hun
KHudai jis ko chaDhati rahi hai suli par
sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise arsa-e-paikar-e-haqq-o-baatil mein
hamesha main hi jo mazhar raha hun neki ka
shikast khata raha
piya hai zahr bhi main ne kaTaya hai sar bhi
bujhi na pyas magar KHanjar-o-sinan ki abhi
na jaane kitni dafa aur qatl hona hai
mujhe ba-pas-e-digar
sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi zamane mein ek qatil hun
aur aisa qatil-e-be-chehra jis ko sadiyon se
zamana DhunD raha hai
magar nahin milta
- Book : shab-khoon(shumara-number-35) (Pg. 26)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.