qatil ko pahchano
soch kahāñ jā kar Thahregī
añdhiyāre meñ kab tak ḳhud ko DhūñDoge
shab kā safar to sub.h pe jā kar ruktā hai
lekin ye shab kitnī kaḌī hai
barsoñ se ik dorāhe par
dam sādhe chup-chāp khaḌī hai
ḳhud ko DhūñDte DhūñDte āḳhir
shab ke ye be-nām musāfir
behis gūñge saa.e ban kar
añdhiyāroñ meñ Duub ga.e haiñ
ye sab kitne bad-qismat haiñ
dil bhī un ke diip kī sūrat jal na sake
aañkh se bhī ik raushan aañsū Dhal na sakā
añdhiyāre meñ ḳhud ko kab tak DhūñDoge
dīvāroñ se kab tak yuuñ sar phoḌoge
aao mere saath chalo tum
garche mere hoñT sile haiñ phir bhī
mere hāthoñ meñ raushan haiñ
aaj bhī lafzoñ kī qindīleñ
un se phūTtī raushnī kī maddham lahroñ meñ
ḳhud ko dekho apne qātil ko pahchāno
soch kahan ja kar Thahregi
andhiyare mein kab tak KHud ko DhunDoge
shab ka safar to subh pe ja kar rukta hai
lekin ye shab kitni kaDi hai
barson se ek dorahe par
dam sadhe chup-chap khaDi hai
KHud ko DhunDte DhunDte aaKHir
shab ke ye be-nam musafir
behis gunge sae ban kar
andhiyaron mein Dub gae hain
ye sab kitne bad-qismat hain
dil bhi un ke dip ki surat jal na sake
aankh se bhi ek raushan aansu Dhal na saka
andhiyare mein KHud ko kab tak DhunDoge
diwaron se kab tak yun sar phoDoge
aao mere sath chalo tum
garche mere honT sile hain phir bhi
mere hathon mein raushan hain
aaj bhi lafzon ki qindilen
un se phuTti raushni ki maddham lahron mein
KHud ko dekho apne qatil ko pahchano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.