qatil
diary roz bulātī hai mujhe likhne ko
ek muddat se koī sher nahīñ likkhā hai
mire siine meñ bhī ik dard uThā jaatā hai
terī yādeñ bhī bahut zehn meñ chillātī haiñ
pen kāġhaz maiñ luuñ
aur koī nayā sher likhūñ
baiTh jaatā huuñ so maiñ diary apnī le kar
misre likhtā huuñ
miTātā huuñ
maiñ phir likhtā huuñ
pheñk detā huuñ phir un misroñ ke kāġhaz ko maiñ golā kar ke
phir mire kamre se
aahoñ kī sadā aatī hai
dekhtā huuñ
to vahī saare adhūre misre
dustbin meñ paḌe dam toḌ rahe hote haiñ
maiñ pas-o-pesh meñ paḌ jaatā huuñ
us lamha tab
aur samajh meñ nahīñ aatā hai mujhe itnā bhī
maiñ ke shā.er huuñ koī
yā ke koī qātil huuñ
diary roz bulati hai mujhe likhne ko
ek muddat se koi sher nahin likkha hai
mere sine mein bhi ek dard uTha jata hai
teri yaaden bhi bahut zehn mein chillati hain
pen kaghaz main lun
aur koi naya sher likhun
baiTh jata hun so main diary apni le kar
misre likhta hun
miTata hun
main phir likhta hun
phenk deta hun phir un misron ke kaghaz ko main gola kar ke
phir mere kamre se
aahon ki sada aati hai
dekhta hun
to wahi sare adhure misre
dustbin mein paDe dam toD rahe hote hain
main pas-o-pesh mein paD jata hun
us lamha tab
aur samajh mein nahin aata hai mujhe itna bhi
main ke shaer hun koi
ya ke koi qatil hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.