qabr mein
mere jism par reñgtī
chuñTiyoñ ke alāva
yahāñ koī hai
koī bhī to nahīñ hai
magar ek āvāz aatī hai
mujh se koī pūchhtā hai
batā terā rab kaun hai
kaun hai?
kaun hai
aur maiñ sochtā huuñ
agar merā rab koī hai to
use mere marne kā ġham
kyuuñ nahīñ hai!
mere jism par rengti
chunTiyon ke alawa
yahan koi hai
koi bhi to nahin hai
magar ek aawaz aati hai
mujh se koi puchhta hai
bata tera rab kaun hai
kaun hai?
kaun hai
aur main sochta hun
agar mera rab koi hai to
use mere marne ka gham
kyun nahin hai!
- Book : Inkaar (Pg. 138)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.