qabr mein zinda hun
kyuuñ nahīñ sone dete mujh ko
jab zinda thā tab par bhī yahī karte the
yahāñ to sukūn do mujhe
har roz chale aate ho dafnāne
ek murda laash ko zinda kar jaate ho
abhī to galā nahīñ maiñ puurī tarah
sunā hai kuchh din meñ
khod kar mujh ko
ek chhoTe bakse meñ bhar doge
ab yahī bachā hai
murdoñ ko bhī chain kī saañs nā lene denā
vo jo cross
mere siine par lagāyā hai
haTā do use
chubhtā hai mujhe
karvaT bhī nahīñ le paatā
kyūñki jagah kam hai yahāñ
paḌos kī qabr meñ
ek nayā musāfir aaya hai
baḌā ḳhush-mizāj hai
kahtā hai ye zindagī
jiine meñ baḌā mazā aatā hai
ab manā kar do logoñ ko
nā jalāyā kare mom-battī
us kī pighaltī būñdeñ
jab girtī hai mere uupar
to chhāle nikal aate haiñ
chalo ab chaltā huuñ
aaj saarī raat
jaag kar kaaT dī
chalo ab chal kar sotā huuñ
kyun nahin sone dete mujh ko
jab zinda tha tab par bhi yahi karte the
yahan to sukun do mujhe
har roz chale aate ho dafnane
ek murda lash ko zinda kar jate ho
abhi to gala nahin main puri tarah
suna hai kuchh din mein
khod kar mujh ko
ek chhoTe bakse mein bhar doge
ab yahi bacha hai
murdon ko bhi chain ki sans na lene dena
wo jo cross
mere sine par lagaya hai
haTa do use
chubhta hai mujhe
karwaT bhi nahin le pata
kyunki jagah kam hai yahan
paDos ki qabr mein
ek naya musafir aaya hai
baDa KHush-mizaj hai
kahta hai ye zindagi
jine mein baDa maza aata hai
ab mana kar do logon ko
na jalaya kare mom-batti
us ki pighalti bunden
jab girti hai mere upar
to chhaale nikal aate hain
chalo ab chalta hun
aaj sari raat
jag kar kaT di
chalo ab chal kar sota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.