qabr
shahzāda lipaTtā hai mujh se aur duur kahīñ
chiḌiyā ko saañp nigaltā hai
sāñsoñ meñ ghultī haiñ sāñseñ aur!
zahr utartā jaatā hai
lamhāt ke niile qatroñ meñ
kānoñ meñ mire ras gholtā hai shabdoñ kā milan! aur man bhītar
ik chīḳh sunā.ī detī hai
jaltī poroñ meñ kāñptī hai be-māya lams kī ḳhāmoshī
us ke hāthoñ se likhtī huuñ maiñ ishq-badan kī miTTī par
us kī āñkhoñ ke goristāñ meñ dekhtī huuñ ik qabr na.ī
aur shahzāde ke siine par sar rakh kar so jaatī huuñ
shahzada lipaTta hai mujh se aur dur kahin
chiDiya ko sanp nigalta hai
sanson mein ghulti hain sansen aur!
zahr utarta jata hai
lamhat ke nile qatron mein
kanon mein mere ras gholta hai shabdon ka milan! aur man bhitar
ek chiKH sunai deti hai
jalti poron mein kanpti hai be-maya lams ki KHamoshi
us ke hathon se likhti hun main ishq-badan ki miTTi par
us ki aankhon ke goristan mein dekhti hun ek qabr nai
aur shahzade ke sine par sar rakh kar so jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.